Jeevan

Kabhi dekha bhaala sadiyon se
Kabhi anjana sa lagta hai
Mann Jogi, Rogi, Kali Raat Musafir sa
Mann mere des ke sooraj sa, jo dhalta Daaman e Yaar main hai
Mann maya, Chaya, Anjaan nagar se Aya hai
Mann Dharti Deen Dharam se pehle
Kunfa Yakun ki kaya hai

Jeewan se Bhagay, Doray hai tu
Haaray
Jitna tu Jagay, Soche
Haray
Khojay hai bahar jo bheetar hai
Haray
Jeevan hai Nadiya, Naiiya bhi
Janay
Thehir ja, ruk ja, sun le
Jo kahe hai tu khud se sunle

Jeevan Sufi ki Khali Kitaab
Raqs main, Rangon main, Shamon main, Subha sa
Jeevan Bait Bhittai Ke
Sindhu se
Jeevan bus Jeevan hai, Pyase ki hai Pyass

Thehir ja, ruk ja, sun le
Jo kahe hai tu khud se sunle

Khud hi khokar khudko
Khud hi dhoonde Khud Main
Khud hi Khud se Mile



Credits
Writer(s): Saif Samejo
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link