Shaurya Ki Kahaniyaan

Sarhadein bataein kya, hadein thi kya jawan ki
Jo jeeta tha ke mar sake, vatan hi uski shaan thi
Waqt waqt har ghadi wo jaaga hum the so rahe
Wo kasbe aur mohalle me kuch ghar bhi they jo the ro rahe
Wo veer tha pala wahin... wahin to uski jaan thi
Sab chodd peeche chal pada... ye desh ki jo aan thi
Vaadiyan ye puchhe to sar na hum jhukayenge
Karz ye chukana hai to shaurya se chukaenge
Na bhool dard jism par liye... hamarey wastey
Bichh gaye jo shaan se... tab miley hai rastey

Kasam hai naa aaye aanch tujhpe tere apno pe
Har ghadi har peher hum saath tere hain khade
Jazba dekh kya kahein josh humko aa raha
Ye shaurya ki kahaniyaan desh hai suna raha

Apni baat par ade wo ant saans tak lade
Dushmano ke samne wo they khade khade rahe
Maut ayi dar gayi ye maut ko bhi tha laga
Shaheed ye amar jawan tha khada Khada raha
Ab har pehar har ghadi ye sarhadein batayein kya
Ye dastaan shaheed ki sunaye to sunaye kya

Kasam hai naa aaye aanch tujhpe tere ap no pe
Har ghadi har peher hum saath tere hain khade
Jasba dekh kya kahein josh humko aa raha
Ye shaurya ki kahaniyaan desh hai suna raha



Credits
Writer(s): Shishir Kumar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link