Door

Tumse nazre mila na paaun
Aise kyun aakhein meri
Aise kyun ho gye hum door
Kaafi yaadein sametein humne
Kaafi hai tootein yahan
Aise kyun ho gye hum choor

Kalam nhi tha haath mein
Phir bhi tu saath thi
Lafzon mein kaafi dard
Phir bhi tu saath thi
Aaine ke saamne kabhi khush na nazar aaun
Phir bhi tu saath thi, haaton mein haath thi
Abhi mein unn kaale baadalon se paar hoon
Teri sahelion ka aaj bhi mein yaar hoon
Unke paas teri meri photo aaj bhi
Naa tujse pehle koi naa teri baad bhi
Puff laga ke teri kaien baatein bhool jaaun
Yaadon mein teri mein kaein raatein kho jaaun
Othon pe kaein daag tere mere pyaar ki
Uss bhi kaein dafa aasun jaise bhul jaaun

Inn se kaise kahun tu meri kal nhi
Inn se kaise kahun pyaar mera safal nhi
Inn se kaise kahun jitne the hum paas pehle
Utni doori mein aaj hum mein bhi hum nhi...

Tumse nazre mila na paaun
Aise kyun aakhein meri
Aise kyun ho gye hum door
Kaafi yaadein sametein humne
Kaafi hai tootein yahan
Aise kyun ho gye hum choor

Yeh uss raat ki baat
Jab hum khoob roye the
Ek sang soye the
Phir bhi hum roye the
Chadar odhein kaein yaadein hum kam bhula baithein
Ek sang soye the
Phir bhi hum roye the
Subhe jab hui tu mere paas nhi
Udaas sab lekin kisi ne di saath nhi
Maine pucha inn lagon ki kahan hai tu
Unn hone kaha ab tu meri aukaat nhi
Mujhe pata hai tujhe mere gaane yaad hai
Mujhe pata hai mere baad bhi koi baad hai
Mujhe pata hai tujhe mil gya koi raja
Yahan toh maine bas dekha unka khwaab hai

Inn se kaise kahun tu pehle aayi thi
Baahon mein nhi mere dil mein samayi thi
Jahan bhi hogi aaj sunn lena meri gaat
Likhte waqt kahin aasunye bahayi thi

Tumse nazre mila na paaun
Aise kyun aakhein meri
Aise kyun ho gye hum door
Kaafi yaadein sametein humne
Kaafi hai tootein yahan
Aise kyun ho gye hum choor



Credits
Writer(s): Abinash Nayak
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link