Muqaddar Nikala Fraudiya

Lo khada hoon beecho-beech bazaar mein
Khwaab dekhoon to kyun gunahgaar main?

Naam ki justuju thi, toone kyun badnaam kiya?
Bana kar mujhe tamasha, maalik, kyun sar-e-aam kiya?
Aas badha kar jisne maayuus kiya

O, muqaddar, haan, muqaddar
Muqaddar nikla fraudiya
Wo muqaddar nikla fraudiya

Muqaddar nikla fraudiya
Muqaddar nikla fraudiya
Muqaddar nikla fraudiya
Muqaddar nikla fraudiya

Arzi ki chitthiyon ko kyun toone jalaya?
Toone jalaya, bolo, Khudaya
Manzilon ke raaston se kyun toone hataya?
Bolo Khudaya, bolo, Khudaya

Aise kyun chhoda mujhe?
Haasiye mein laa ke
Teri taabizon ki sab
Aayatein mita de

O, chaukhat pe teri maine to ki hai ibadat
Kya thi duaaaon mein meri koi milawat?
Aas badha kar jisne maayuus kiya

O, muqaddar, haan, muqaddar
Muqaddar nikla fraudiya
Wo muqaddar nikla fraudiya

Muqaddar nikla fraudiya
Muqaddar nikla fraudiya
Muqaddar nikla fraudiya
Muqaddar nikla fraudiya

Muqaddar nikla fraudiya



Credits
Writer(s): Rachita Arora
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link