Gubbara

Yaad hai vo muskaan vo chehre par
Yaad hai khushi uski aankhon mai
Aaj aaye yaad sabhi gujre pal
Jab thaame the gubbare uski haathon mai
Kuch laal, kuch peele, gulabi
Aseem thi vo khushi aur chaal kuch nawabi
The mutthi mai pakde vo kaskar
Kabhi chhoot na jaaye tha vo kehta ye aksar ki
Maa ye gubbare kaise udte hai
Inki tarah muze udna hai
Lehraate hava ke ye zoke sang
Muze bhi to aasmaan chhuna hai
Batao kya inke bhi sapne hai
Hamesha ye udna jo chahte hai
Khushi uski dekhi jo us din
Vo rangiberangi do-teen gubbaro mai par
Raah pr vo ladkhadaaya
To ude gubbare phir vapas na aaye
Haath se vo chhute badal gayi manzil
Uski aankhon mai aansoon vo rokna tha mushkil
Mai bhi jab thi ladkhadaayi
Thi khodi khushi kabhi vapas na aayi
Haath se vo chhuta kabhi vapas na aaya
Sataataa hai par uski yaadon ka saaya
Zindagi bhar tha pakda jo kaskar
Ek pal mai uda tha vo kehta ye aksar ki
Maa muze aansmaan hai chhuna
Aur aaj bhi mai dhoondti hu vo udta gubbara



Credits
Writer(s): Crygene
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link