Phir Se Qareeb

Thehra mein bheegi raaton me kaampta
Tere jism ki aahaton ko maangta
Toota kaise dilon ka vaasta
Zakhmon ke nishaan hai daastan
Baitha main un lamhon ko sochta
Tha chalta jab jazbaaton ka kaarvan
Chahu phir se khushi se raabta
Ashkon se bayaan hai faasla

Faimiyan ghalat jo ho chuki
Baatein ankahi jo reh gyi
Sunti na kabhi meri iltijah
Dono bekasoor ab na sata

Dhoondein Khud ko, Nazdeekiyon me
Hone na de ab savera
Bana phir se jo tu mera, najaane kaise
Bikhra mein raha tha judaa kabse
Khwashein haasil hongi kyunki
Main bhi yaha aur tu bhi yahan

Na kabhi mein us pal ko bhoolta
Choo ke jab tune mujhko paaya tha
Jaane kaisa sitam yeh ho gya
Khilte Baaghon ko soona kar diya
Tera mere labon ko chumna
Tha chadta jaise zehen me har nasha
Aise kho ke yakeen yeh ho chuka
Khwabon sa buna tha voh sila

Kya tujhe bhi yeh gham khal raha
Meri thi khata, mujhe bolo na
Sunti na kabhi meri iltijah
Mein hu ab kareeb, mujhe chodo na

Dhoondein Khud ko, Nazdeekiyon me
Hone na de ab savera
Bana phir se jo tu mera, najaane kaise
Bikhra mein raha tha judaa kabse
Khwashein haasil hongi kyunki
Main bhi yaha aur tu bhi yahan



Credits
Writer(s): Rohit Bhau
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link