Mera Desh

Mere desh me dekho
Kaafi zyada
Bawaal hone laga hai
Mere desh me dekho
Kaafi zyada
Ghamasaan hone laga hai
Mujhe dar hai mera desh
Kahi doob na jaaye
Mujhe dar hai kahi
Nayi soch me
Ye pichad na jaaye

Mera desh
Mera desh
Mera desh
Mera desh

Kya hua
Ekdum se dekho
Kya hua
Ekdum se takhta
Palat gaya
Ekdum se kya hua
Logo me aakrosh hai
Kuch log nashe me
Pade hue hai
Kaam ke samay pe
Na kaam karte
Apni sanskriti se
Pare hue hai
Kya ye vahi jagah
Jahan hui thi shaheedia
Aajkal yaha aag me
Jala di jaati hai
Humari didiyan
Mai to keval dard sunata
Asli dard vahi jaante
Jinpe ye sab bitiyan
Insaaniyat dekho
Kho gayi
Shaitaan har jagah
Bhare pade hai
Bado ki to baat
Chordo yaha
Bachiyon ke bhi
Rape ho rahe hain
Jaatiwaad chaaro aur
Faila dharam waalo ke
Pet bhar gaye
Economy ka bhatta bhaitha
Berozgaari se log mar gaye
Aata hai gussa is baat ka
Ye sab dekh ke dil
Mera kaapta
Har cheez me chupi
Hui saajishen
Dhundna padega
Hume satyug ka raasta
Prakarti ka vinaash
Kardia
Ped paudhe to saare
Kho gaye
Jaanwar to bolni paate
Mann hi mann hume
Koste honge

Mere desh me dekho
Kaafi zyada
Bawaal hone laga hai
Mere desh me dekho
Kaafi zyada
Ghamasaan hone laga hai
Mujhe dar hai mera desh
Kahi doob na jaaye
Mujhe dar hai kahi
Nayi soch me
Ye pichad na jaaye

Mera desh
Mera desh
Mera desh
Mera desh

Ameer banjata
Ameer hai
Gareeb banta
Gareeb
Aasman me kaali
Hawa sab
Banre hai mareez
Choti ye baat nahi
Kaafi badi hai ye
Cheez
Sarkaar hai muh par
Achi par piche 420
Pata nahi kya hoga
Ab aese desh ka
Jahan chalta hai raj
Sirf babaon ke besh ka
Ye babaon ke besh me
Karjaate hai kaand
Teer ke nishane pe
Rehte hai chote log
Jhoothe bol bolte hai
Kuch kuch ye neta log
Votes ke naam par
Karte hai ye draamebaazi
Ye jhoothe votes
In sabke hai 56 bhog
Choti si baat pe
Hoti ladayian
Kayi logo ki
Jhooth ki kamayian
Filmon par
Dangebaazi
Bachon ki chooth
Jaati padhayian
Road rage me hote
Murders property me
Ladte hai brothers
Mai to ye sochta hu ki
Kya sochti hongi
Inki mothers
Moortiyan banane ke
Morche jaari
Kab aayegi asli
Muddo ki baari
Ye kaise haalat hogye
Kardi paar humne
Haddein saari
Sone ki chidiyan
Naam tha humara
Naajane ye kaha
Ud gayi
Soch ko apni
Sambhaal na sake
Najaane ye kaha
Jud gayi
Muh par rehti humesha
Gaaliyan
Galat kaam karke
Muh par laaliyan
Kuch to ab sochte
Hai yaaron ki
Marne se pehle
Mil jaye kuch taaliyan
Ki marne se pehle
Mil jaye kuch taaliyan
Ki marne se pehle
Batorle taaliyan
Ki marne se pehle
Mil jaye kuch taaliyan

Mere desh me dekho
Kaafi zyada
Bawaal hone laga hai
Mere desh me dekho
Kaafi zyada
Ghamasaan hone laga hai
Mujhe dar hai mera desh
Kahi doob na jaaye
Mujhe dar hai kahi
Nayi soch me
Ye pichad na jaaye

Mera desh
Mera desh
Mera desh
Mera desh



Credits
Writer(s): Harshit Music
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link