Khuwab E Ghaflat

Khwaab e Ghaflat mein soye hue momino
Aish o Ishrat badhane se kya fayeda!

Aankh kholo utho aur yaad Rabb ko karo
Umar yuu hi gawaane se kya fayeda!!!!

Apne rabb ko jawaani mein bhoola hai tu
Aur taaqat ke boote pe phoola hai tu!!

Jab jawani dhalegi to pachtaayega
Aise rone rulaane se kya fayeda!!!!

Tha Hukuumat ka Firoun ko bhi nasha
Zulm par Zulm wo Khalqat karta raha!!!

Jab Samunder mein Dooba to kehne laga
Is Hukuumat ke paane se kya fayeda!!!!

Kitna Ma' aroof qissa hai Shaddaad ka
Rooh jab uske Tan se nikaali gai!!!!!!!

Marta Marta wo logo se kehta gaya
Aisi Jannat banaane se kya fayeda!!!!

Maaldaari mein mash' hoor Qaaroon tha
Wo mukhaalif tha Moosa wa Haaroon ka!!

Jab Zamee mein dhasaya to kehne laga
Aise bejaa khazaane se kya fayeda!!!!!

Qaabile zikr Qissa hai namrood ka
Wo bhi inkaar karta tha ma'Abood ka!

Uske bheje ko machchhar ne khaa kar kaha
Yu badaai jataane se kya faayeda!!!!!

Apni shohrat pe 'mohsin' yuu na machal
Aik din aa dabochegi tujhko ajal!!!!!!

Rooh ko saaf kar nek a'Amaal kar
Jism e zaahir banaane se kya fayeda!!!!

Khwaab e Ghaflat mein soye hue momino
Aish o Ishrat badhane se kya fayeda!!!!!

Aankh kholo aur yaad Rabb ko karo
Umar yu hi gawaane se kya fayeda!!!!!



Credits
Writer(s): Hafiz Amanullah Qazi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link