Naseeb (feat. NSK)

Sab ki zindagi mein ek waqt aata hai jab humein apne saare mushkilon ka saamna khud karna padta hai
Aur yeh hai meri kahaani
NSK THE ROCKSTAR HAAN
Suno

Dekha hazaaron logon ko hai meine zindagi mein
Kamine hi toh log ghoomtein hai vardi mein
Dhoka dhoka dhoka hi toh milta hai
Mauka mauka mauka hi toh maarna hai
Inn saalon ko fateechar bana diya hai
Insaano ko kai nakko khudka bas tum dhyaan rakho
Kyun ki koi nahi karne wala tera bhala yahan
Baaki mera na sunoge bhatkoge yahan waha
Chal uth jaa tu lag jaa tu khud ki talaash mein
Tu khaas hai baaki bakwaas hai
Kyun karna deri jab khud ki awaaz hai
Faad De

Mera naseeb hai mere hi haath mein
Karta hu mehnat din raat mein
Bharosa hai khud ki awaaz pe
Launga sabko unki aukaat pe
Darta nahi hu kisi ke baap se
Haar na manta hu mein that's how I play
Apno ke liye insaan mein
Dushmano ke liye shaitaan mein

Aao sunau tujhe choti si kahaani meri
Gaane ka shaukh tha bachpan se aur music jaan se pyaari
Seekha shiddat se saalon tak
Pahuchneko meri manzil tak
Maa Baap ka saath tha
Aur unka aashirwaad tha
Isiliye shaayad upar wale ka bhi sir pe haath tha
Sab sahi chal raha tha
Khushi se jeer aha tha
Jo bhi chaaha tha meine sab kuch mujhko mil raha tha
Ek insaan tha jisko bhai bulaaya
Mat maari thi meri jo usko sir pe bithaaya
Maanta tha mein usko kyun ki sikhaaya woh mujhko
Zaroorat se bhi zyada izzat diya usko
Usne jo bola woh mein karta raha
Mazaak udaaya mera phir bhi sehta raha
Ghalti meri thi usko apna mein manta tha
Pata chala ki who toh mujhse hi jalta tha
Kaam cheena Naam cheena Zindagi ka aaraam cheena
Mushkil kar di usne mere hi zameen par jeena
Haar na maana meine bhai tera hard hai
Kuch na ukhaad paaya aisa hu jhaad mein
Khud apna raasta banaya meine aisa chote
Aaj who zameen par aur upar mein pahaad pe
HAHA Mumbai meri jaan hai
Iss sheher ne diya hai
Sab kuch mujhko toota tha mein
Joda mujhko roota tha
Hasaaya mujhko khwaabon ko
Sajaaya mujhko gale se
Lagaya aur jeena bhi sikhaya mujhko
Dekho kaise kar raha hu kaam ab roz
Mere haters ko de raha hu aisa doz
Dimaag se shaatir hu
Sabse mein kaabil hu
Shabdon se maar du aisa mein kaatil hu
Mera time aaya chote vaapas mein aaunga
Mere logon ke dil mein pyaar jataaunga
Aise machaunga gaana banaunga
Apne gaano pe mein sabko nachaaunga
Public ka pyaar hi himmat hai
Poori zindagi bitaaunga unki khidmat mein
Paisa bhi jaat agar public hai saath bhai
Mehnat karne se hi milta inaam bhai
Sher hai tu sher bharosa tu khud pe kar
Maar chauka chakka zindagi ke har mauke par
Hatna nahi jhukna nahi paiso ke liye bikna nahi
Time bahut kam hai chote kisi ke liye rukna nahi

Mera naseeb hai mere hi haath mein
Karta hu mehnat din raat mein
Bharosa hai khud ki awaaz pe
Launga sabko unki aukaat pe
Darta nahi hu kisi ke baap se
Haar na manta hu mein that's how I play
Apno ke liye insaan mein
Dushmano ke liye shaitaan mein

Soch bada zindagi mein kuch karna hai toh khud ki keemat badha
Rehna khada aise jaise sher jungalon mein rehta akela khada
Kaam badha naam bana mehnat aur paseene se
Saath diya din raat jisne haath diya har raah pe jisne
Kabhi na chodna unko paas tu rakhna lagake apne seene se
Maa baap ne jo kiya kurbaani dikhta nahi kya tereko
Padhne ko likhane ko sikhaane ko khilaane ko
Tere khaatir aur tu pyaar ke khaatir chodke unko chal pada doosron ke saath jeene ko
Aisa hai toh koi haq nahi hai tujhko jeene ko
Karna naa sitam koi
Darna na kisise kabhi
Ladna zindagi mein jab tak chale saasein teri
Khel nahi hai phir bhi dekho daud rahein hai saare
Pal bhar agar mudkar dekhega agar toh rehjayega peeche
Aur neeche na milega tujhe chaand tare toh bhaag pyaare
Sab ek jaise nahi hote phir bhi sab hote hai khaas
Khud ko karna padta hai ehsaas
Dil ki awaaz sun
Khud ke liye sahi raah chun
Khud ki pakadke dhun manzilon ki taraf tu
Run run run let your enemies burn
Cos now it's your turn
To give it in return what you've learned
Come on show it to the world
That you are different from the herd
Sabko karke dikhaana hai
Manzil ko paana hai
Apne maa baap ko izzat dilaana hai
NSK THE ROCKSTAR HAAN



Credits
Writer(s): Navalkishore Kulkarni
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link