Khwaab

Khwaab sa mai chu na sakata
Khwaab sa kyun dur hai khada
Khwaab sa hai zidd par adaa
Khwaab sa kyun tut gaya

Nazuk sa wo lamha kaise dur kar gaya mujhe
Naasur bana pyaar tera chur kar gaya mujhe
Yaad na mai aata usey bhul kar gaya mujhe
Banjar bana dil mera dhul kar gaya mujhe
Nur sa that phool sa tha khubsurat bohot
Mujhe na swikaara usney jaise aayi maut
Nindak itne pyaar ke yha mujhe lage khauf
Tere bina din bhi kaale tute saare shauk
Hataash mai hataash mai yha bikhre itne taj hai
Jo kare soda pyaar ka bass bane wo sartaaj hai
Aas mei mai aas mei bass tera intezaar hai
Shumaar hus iss kadar likhe ikhtehaar hai

Khwaab sa mai chu na sakata
Khwaab sa kyun dur hai khada
Khwaab sa hai zidd par adaa
Khwaab sa kyun tut gaya

Khuli si kitaab tera pyaar hai khitaab
Tera chehra na mai dekhu mera bigde hai hisaab
Padhu geeta aur quraan karu pooja or namaaz
Jaise tute saare saaj barish badal se naraaz
Diya tha imaan tujhe diya tha bharosa
Dikhaya tune khwaab apni ankhon mei sanjoya
Hasrat ko parosa aise nafrat na karona
Aksar tune kosa ahesaason ko kharoncha
Khaali pan hai tera bina khali panne bharu gum mei
Jitni baatein karlu tujhse lagti mujhko kyun wo kam hai
Tuti shaamei mere manmei aksar deti mujhko sadmei
Bhul na mai paaun tujhko khaali maine itni kasmei

Khwaab sa mai chu na sakata
Khwaab sa kyun dur hai khada
Khwaab sa hai zidd par adaa
Khwaab sa kyun tut gaya

Khwaab sa mai chu na sakata
Khwaab sa kyun dur hai khada
Khwaab sa hai zidd par adaa
Khwaab sa kyun tut gaya



Credits
Writer(s): Shubham Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link