Choona Hai Aasmaan - Cinematic Version

Choti si inn aankhoun mein
Sapnay hazaaroun se hain
Haath banday hain par azaad hain iraaday
Manzil adhoori si hai
Par honslay pooray hain
Bass chaltay chaltay
Mil jaayengey woh raastay

Jo karna ham chaahein
Kar ke dikhaaein
Jo bhi bann na ham chaahein
Woh bann ke dikhaaein
Yeh jo mushkil ghari aayegi
Woh tou guzar jaayegi
Hogi woh subha ab jis mein
Hum ne Choona hai ye Aasmaan
Aasmaan

Socho tou zara woh din jab
Sooraj ki kirno ke sang
Ummeedoun ke baadal
Kaisay cham cham barsengey

Socho tou zara woh din ka
Jab hum azaad panchi
Khuwahishoun ke baadal pe yoon
Maujoun mein jhoomengey
Poocho tou zara is dil se
Suni hai kabhi kiya is ki
Log kiya kahengey keh ke
Jee li ab yeh zindagi

Kyun logoun se hai darna
Jo dil mein wohi karna
Kuch tou log kahengey
Bass yeh kehtay rahengey
Kyunke manzil ko paana hai tou
Inn ko harana hai aur
Laani hai subha woh jis mein
Ham ne Choona hai ye Aasmaan
Aasmaan



Credits
Writer(s): Saif Altaf
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link