Pyari Sakina (2020)

Baali sakina raahate qalbe hussain hai
Hai sabse choti fatima ismat ka ain hai

Godi me leke shah ne sakina ko ye kaha
Hai khas do jahaa me sakina ka martaba
Noori har aik harf hai naame sakina ka
Rakkha hai maine naam sakina ka fatima
Hai raahe haq zamane me seerat sakina ki
Maa fatima ke jaisi hai soorat sakina ki

Dil ka mere sukoon hai sakina jahan me
Hain arsh par qaside sakina ki shan me
Meri sakina rahti hai noori makan me
Quraan ki hain balaghate uski zaban me
Najme sahar hai subho ki pahli kiran bhi hai
Khushbu meri sakina hai fakhre chaman bhi hai

Zahra nabi ka tukda skina hai meri jaan
Uska makaan nahi ye zamee hai wo aasmaa
Meri nazar me soorae kausar hai wo yahaan
Hain paanch harf naam me anwaar ke nishan
Rutba bahut azeem hai pyrai sakina ka
Saani nahi hai koi hamari sakina ka

Jo chahe usse maango ataa ka dayar hai
Har shae pa usko meri tarha ikhteyar hai
Uski riza bhi marzie parwardigar hai
Parwardigar ko bhi sakina se pyar hai
Taaseer rab ne di hai ye uski zabaan me
Kah degi jo sakina wo hoga jahaan me

Sadqa meri sakina ka hai mausame bahar
Hote hai uski aik hasee par chaman nisar
Utre zamee pa chand jo kah de wo aik baar
Is kamsini me uski fazilat hai beshumar
Ikseer uske phool se qadmo ki dhool hai
Rab ki qasam sakina me akse butul hai

Hai uske khoon me khoone abutalibi rawaan
Rukh par ali ka noor jabeen fakhre kahkashaan
Siddiqa tahira hai wo karti hai haq bayaan
Hai shahre ilm meri sakina ka nana jaan
Baade khuda wohi mere sabse qareeb hai
Koi sakina jaisa kahaan khushnaseeb hai

Abbas ke labo pa hai paiham dua yahi
Rukhpar meri sakina ke hardam rahe khushi
Taumr gham na dekhe zamane me wo koi
Guzre sukoon se meri sakina ki zindagi
Ghazi ki aarzuo ki dunia basi rahe
Sar par rida skina ke lab par hasi rahe

Sughra ki pyari zainabo kubra ki laadli
Maadar ke dil ka chain nawasi rasool ki
Sajjad qasimo ali akbar ki zindagi
Mazhar raza sakina ka saani nahi koi
Qurbaan jaau bali sakina ke jine par
Soti hai roz bolte quraan ke sine par



Credits
Writer(s): Mazhar Lucknowi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link