Bhool Jaun

Koi poochhe kya hai tera pata
Mai na jaanu
Koi samjhaaye meri khata
Mai na maanu
Jo zamaana mujhse hai keh raha
Mai hun aawara
Bewajood se is daud me
Main hoon banjaara
Keh rahi hai vaadiyan
Tera jahan manmarziyan
Paa gayi hai manzile
Abh khwab bhi hai naye

Na pata kya kal hai
Jee le tu ye pal hai
Paa liya hai maine mera aashiyan
Na koi khabar hai
Na koi fikar hai
Bhool jaun main ye saara jahan

Bhool jaun main saara ye jahan
Ek hi zindagi do mauke dhundoo main kahan
Besahaare ajnabi sheher mein kaise raha
Haar ke main jeeta har din mile jeene ki wajah
Inhe na koi parva par phir bhi poochhe savaal mujhse
Mera naam aur yeh shaan main kamaaya khud se
Hum vaadiyon mein ude dekho jaise sayaron se
Hoke main faraar dekho apne hi daayaron se
Zindagi ka ye safar tha safari
Kandho pe thi zimmedaari
Pata tha ye meri baari
Kab se dhakele hum
Ummeedon ki yeh gaadi
Ab hateli pe yeh mic
Saamne duniya yeh saari
Khwab aise dekhe jo dilati nahin neend mujhe
Mera scene kaise hua behatareen
Ab main door is jamaane se
Yeh karein naa yakeen
Kamyabi mere peechhe
Ooparavaala meri team
Aur main blessed

Na pata kya kal hai
Jee le tu ye pal hai
Paa liya hai maine mera aashiyan
Na koi khabar hai
Na koi fikar hai
Bhool jaun main ye saara jahan



Credits
Writer(s): Aseem, Vicky Hajeri & Tejas Joshi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link