Bageecha

Khaari yaadon ke karam kyun dauhraayein?
Khaabi baaton se yeh dil bhar na aaye re

Beete lamhaaton ke peechhe kyun bhaagein?
Sacchai ki jung yeh lad na paaye re

Dikhta hai kiraaye ka ghar mera, woh bageecha
Sooraj ki kirnein jagaayein jo man mera
Yaad aaye woh dareecha

Aasmaanon ke talay rehta hai tu kahaan, mere maula?
Ranjishein yeh na rahe itni si hai dua, mere maula

Aasmaanon ke talay rehta hai tu kahaan, mere maula?
Ranjishein yeh na rahe itni si hai dua, mere maula

Soona mera aangan, mujhse ummeedein rakhta hai
Laut aayein woh dopahar, thapkiyon se sulaaye mujhe meri maa

Yaadein phir woh sataengy, aankhein bhi bhar aaengy
Hoga kya kum faasla?

Dikhta hai woh bachpan ka yaar mera, woh jo tha pagla
Chhupke jahaan se pukaare pyaar mera, yaad aaye woh dareecha

Aasmaanon ke talay rehta hai tu kahaan, mere maula?
Ranjishein yeh na rahe itni si hai dua, mere maula

Aasmaanon ke talay rehta hai tu kahaan, mere maula?
Ranjishein yeh na rahe itni si hai dua, mere maula



Credits
Writer(s): Dhruv Kushwaha
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link