Munajat Mola Abbas (2020)
Girdaab se safinay dil ko nikal do
Zainab ka tumko wasta mushkil ko taal do
Abbas bekaso ke masiha tum hi to ho
Humko balay ghere hai mushkil kusha ke laal
Jaari hai ashk aankho se dil ka ajab hai haal
Darwaze saare band hai kis se kare sawal
Ghairo se kya gila kare apno ki hai ye chaal
Aao madad ke waste ghutta hai dam bahut
Dunia ki berukhi se pareshan hai hum bahut
Muflis hai kuch to kuch yaha zardar aay hai
Darbar me tumhare azadar aay hai
Aabid ka wasta liye beemar aay hai
Kar do karam hussain ke ghamkhar aay hai
Is tarha badlo bigde muqaddar ka faisla
Rahib ke haq me jaise tha sarwar ka faisla
Shar aur fasaad aaj uthay huy hai sar
Mahfooz ab nahi kisi momin ka koi ghar
Insan khud gharaz hai zamane me is qadar
Dushman hai bhai bhai ka hota hai khun jigar
Jazba wafa ki khun ki rawani me daal do
Saare jahan ko amn ke saanche me dhaal do
Taqat thi apni qom me bejaan nahi the hum
Itne gharib be saro saaman nahi the hum
Yu ranjo gham me pahle to ghaltan nahi the hum
Jaise hai aaj ayse pareshan nahi the hum
Zahni sukun ilmo taraqqi ka raasta
Abbas humse chute na neki ka raasta
Yaksa karam ho sab pe wo apna ho ya ke ghair
Sadqa sakina bibi ka dedo ali ke sher
Sooni hai jitni godiyan aulad ke baghair
Aabad kardo inko sakhi ab karo na der
Ik pal me tum hi bigde muqaddar banate ho
Tum hi to mufliso ko tawangar banate ho
Abbas kab chatengi ghamo ki ye badliyan
Bahne gharo me baithi hai ho unki shadiyan
Kubra ke aqde paak ke sadqe ki chudiyan
Jaay pahan ke maike se sasural betiyan
Ho khas kuch ataay tumhari ali ke laal
Maqbool ho duay humari ali ke laal
Saay me ahlebait ke gulshan sajaa rahe
Shohar ke saath biwi ka rishta sada rahe
Shikwa kisi ke lab pe na koi gila kare
Dolat se aitbaar ki daaman bhara rahe
Abbas phir se toote huy ghar basa do tum
Jo faasle dilo me hai unko mita do tum
Qasim ka wasta ali akbar ka wasta
Aur tashna lab sakina ka asghar ka wasta
Johno habib hurre dilawar ka wasta
Tum ko hussain ke tane besar ka wasta
Beghar hai jo gharib unhe saayban do
Sar ko chupane ke liye sab ko makan do
Har baat me mahak thi har ek lafz phool tha
Husne salook zaate nabi ka husool tha
Apna ho ghair sab ke liye ek husool tha
Aay wo daur phir se jo daure rasool tha
Sadqe me shah ke sara jahan ba shaoor ho
Parda uthe imame zaman ka zahoor ho
Ummul bani ke laal wafa ki tumhe qasam
Butalibo rasoole khuda ki tumhe qasam
Binte asad ki shere khuda ki tumhe qasam
Zahra ki shahe karbobala ki tunhe qasam
Mazhar pa aur raza pa bhi aqa karam karo
Tum ho sakhi humare sabhi door gham karo

Credits
Writer(s): Mazhar Lucknowi
Lyrics powered by www.musixmatch.com
Link
© 2024 All rights reserved. Rockol.com S.r.l. Website image policy
Rockol
- Rockol only uses images and photos made available for promotional purposes (“for press use”) by record companies, artist managements and p.r. agencies.
- Said images are used to exert a right to report and a finality of the criticism, in a degraded mode compliant to copyright laws, and exclusively inclosed in our own informative content.
- Only non-exclusive images addressed to newspaper use and, in general, copyright-free are accepted.
- Live photos are published when licensed by photographers whose copyright is quoted.
- Rockol is available to pay the right holder a fair fee should a published image’s author be unknown at the time of publishing.
Feedback
Please immediately report the presence of images possibly not compliant with the above cases so as to quickly verify an improper use: where confirmed, we would immediately proceed to their removal.