Ya Mohammad Mustafa

Ya mohammad yamohammad mustafa
Ya mohammad yamohammad mustafa

Aap ki khilqat hui hai noor se
Aap par qurbaan jalwe toor ke
Ho gaye mukhtar jo majboor the
Ye karam hai aap ka shahe huda

Rahmate nazil hui aai bahaar
Ho gaye wo shaad jo the dil figar
Aap ne aakar kia aysa hisaar
Kar dia har ek bala ka khatma

Aap ka husne amal hai bemisal
Aap rakhte hain sada sab ka khayal
Aap ko rab ne dia aysa jamaal
Husne yusuf dekh ke shaida hua

Jism noori payrahan bhi noor ka
Hai amama noor ka noori asaa
Aap ka daste karam daste shifa
Aap jaisa koi banda hai na tha

Aap hain shaqqul qamar khairul bashar
Aap hain yasin shahe bahro bar
Aap ka hai y4e tarruf mukhtasar
Har nabi se aap ka rutba siwa

Rahmatullil aalameen khairul anaam
Aap aalim aap hain aali maqaam
Aap se zarre bhi karte hai kalaam
Sare aalam ne ye dekha mojiza

Aap jis dam arsh par pahuche nabi
Thi pase parda wo hasti kon thi
Kis ke lahje me khuda ne baat ki
Ye zamane ko bata deeje zara

Aap ki dukhtar hai khatoone jina
Aap ke farzand imame do jahan
Aap ka ghar is zameen par aasma
Aap ka saya aliye murtaza

Wo madina jo jina ka baab hai
Deed ko uski ye dil betab hai
Ek haqiqat wo bane jo khwab hai
Shahre yasrab me bhi ek ghar ho mera

Waasta hai aapko shabbir ka
Ya nabi mahdi hasan mazhar raza
Jaaye taiba naat padhne baarha
Hai hamari ye dua ye ilteja



Credits
Writer(s): Mazhar Lucnowi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link