Izhaar

Jabse tujhse mila hoon
Mai yeh sochta hoon
Ki shaayar tha mein pehle
Ya hogaya hoon

Khushboo mein teri
Mai thamsa gaya hoon
Adaon mai teri
Ya kho gaya hoon

Mai duniyaan bhula doon
Mai taare bhi laa doon
Kiye the jo sare
Voh wade nibhadoon

Teri ankhein badi zalim hain
Yeh jeene na dengi mujhe

Kaliyaan fizaye
Voh gehri ghataaye
Meri nindiya ye sapne
Voh behti hawaayein
Tum hi ho

Yeh badal
Voh tara
Nadi ka yeh
Kinara
Yeh duniya adhuri
Bin tere mai hara

Dekha hai jabh jabh tujhko
Mai hoon muskuraya
Na maine kaha kuch
Na tu pass aaya

Taras gayi hai aankhein
Tujhe dekhke hi
Mai sochta tha aqsar
Mulaqaat hogi

Ha socha tha tum ho meri chaandni
Yeh raatein yeh suraj bhi
Tum hi ho

Mai duniyaan bhula doon
Mai taare bhi laa doon
Kiye the jo sare
Voh wade nibhadoon

Teri aankhein badi zalim hain
Yeh jeene na dengi mujhe

Kaliyan fizaye
Voh gehri ghataye
Meri nindiya ye sapne
Voh behti hawaayein
Tum hi ho

Yeh badal
Voh tara
Nadi ka yeh
Kinaara
Yeh duniya adhuri
Bin tere mai hara
Teri aankhein badi zalim hai yeh jeene na dengi mujhe

Kaliyaan fizaye
Voh gehri ghataaye
Tera chehra yeh zulphein
Mujhe yeh bataayein
Tum hi ho



Credits
Writer(s): Aniruddha Deshpande
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link