Katal-E-Aam

Dhun se dhun milaya banaya maine raag
Dhun se dhun mila phir hua mera aagaaz
Dhun se dhuan hua nashe mein bakdun raaz
Aaj kaisi ye beef meri khud se mai naraaz

Aaj likh doon mai sach clout tera naam
Gale mein hai fanda gali mein badnaam
Dikhta hai sach par bikta hai galat kaam
Yahan insaaniyat ki maut kra hai katal-e-aam

Aaj sathi wohi khade jo tere saath mein
Dekh liya kaafi ab nahi rahoonga shaant mai
Shabd mera dharm lapetun har baat mein
Lafz talwaar utaarun tujhe ghaat mai

2012 mein thana tha maine
Beat pe murder kri thi maine shuruaat
Relevant mai tab se one man army
Kisi pe bhi likh dun bina koi aitraaz

Taane sune kaafi dabaao mein likhe gaane
Ghao hai jism par ye rooh nahi maane
Bayaan kra maine sunaya muh-zubaani
Safar asafal ya phir meri kahani

Behosh sa par bebas nahi
Aaj bekhauf sa mai bas mein nahi
Aaj raaz nahi kuch muhphat sa bolun mai
Taskari dhun ki jo raag se taulun mai

Bolun mai sach chahe maaro mujhe
Dafnao ya zinda gaado mujhe
Laal syaahi se likh di hai geet
Ab saath do yaa phir nakaro mujhe

Kaato mujhe chalao talwaar
Baaton mujhe mazhab mein chaar
Aakhiri dum tak rahunga khada kyunki
Shabd mera dharm shabd hathiyaar
Shaz!



Credits
Writer(s): Shahroz Ahmad
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link