Azaadi Bandishon Mein

Kabhi kabhi khamoshiyon mein
Dheere dheere sunta hai dil
Kitni awaazein anjani si
Gungunate gaye hain aaj khil
Saaf aasmanon mein
Jhilmilate chaand sitare
In kudrat ki bandishon mein
Khul gayi hain rahen kai saare

Kahin neeli nadi ka behta pani
Usme kitni aabi kahaani
Kal kal behte hue ye
Sunaye zindagi ki rawaani
Na dhup ka pata hai na hai chhaon ki kami
Baithe gharondo mein hai zindagi thami
Magar
Saaf aasmanon mein
Jhilmilate chaand sitare
In kudrat ki bandishon mein
Khul gayi hain rahen kai saare

Hai veeran aaj saari rahen
Sooni padi galiyan aur koochen
Na kadmon ki aahaten hain
Chaaro aur bas khamoshiyan goonje

Kabhi kabhi khamoshiyon mein
Dheere dheere sunta hai dil
Kitni awaazein anjani si
Gungunate gaye hain aaj khil
Saaf aasmanon mein
Jhilmilate chaand sitare
In kudrat ki bandishon mein
Khul gayi hain rahen kai saare



Credits
Writer(s): Manabendra Gogoi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link