Kahaani (Raw)

Khaali panne aur ek kalam hai yahan
Phir ek kahaani likhne chala main yahan
Nanha kabootar khidke pe jaise nawab
Poocha maine haal kya hai janaab

Ek raat aya tha mere ghar toofan
Lagne laga tha darr mai gumsum wahaan
Dhundha maine dhundha paya khali ek makaan
Tab se yahaan hoon main jaaun kahaan

Panchi mere baatein jo tumne kahi
Mera ghar bhi mujhse door kahin
Tum bhi akele hum bhi tanha yahaan
Darte kyun ho ab hum saathi yahan

Ek raat udh gaya khidki se saathi mera
Darne laga hai dil gum vo kahaan
Phir us subah paaya usne apna jahaan
Kehkar mujhe alvida vo khush hai wahaan

Khaali panne aur ek kalam hai yahan
Phir ek kahaani likhne chala main yahan
Sunte tum ho jaise koyi nawaab
Poochta hoon are haal kya hai janaab



Credits
Writer(s): Harish Budhwani
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link