Toota Taara (feat. Anny Soni)

Shukriya Meri jaan tere taufa-e-bewafaai ka
Mat bhool ki tujhe duniya me hi hisaab dena hai paai paai ka
Khuda kare tu din raat tadpe or meri parchaai bhi tujhe naseeb na ho
Bas aakhein khuli rakh or dekhte jaa
Ki kya hashr hota hai ek harjaai ka

Ab bhi ye aakhein meri dhoondhe kyun hai chehra tera
Ab bhi iss dil me mere yaadon ka hai pehra tera
Shaamein to dhalti hai par raat nahi hoti meri
Kyunki ab shayad tujhse baat nahi hoti meri
Yaadon ki unn galiyon me phirse mera jaana hua
Jahaan tujhko dekhe mujhe kaafi zamaana hua
Shayad jo tu dikh jaati to naa reh pati mere haal ko dekh
Tujhse bichad ke kaise mein jagg se begana hua
Saansein to chal rahi hai par
Ab zara si bhi jaan nahi mujhme
Le le inn saanson ko bhi
Bas kar de ehsaan tu ye mujhpe
Thi kya wajah
Thi kya khata
Tu hi bata
Aa de sazaa
Kar de fanaa mujhko tu
Iss dard se
Bhar ke kalam me khoon
Likh du mai jo tha tere dard-e-ishq ka junoon
Aisa bhi kya tha jo jasbaaton ko tu samjhi na
Kar chuka tabaah main khud ko phir bhi mila naa sukoon
Dar Dar ki thokarein aur thokaron me zindagi
Ab aisa lagta hai aise kuch bhi bacha nahi
Mein de dunga jawaab saare tere har sawaalon ka
Bas koshish karna milne ki tu mujhse mere jeetey jee

Ek toota hua taara na jaane kis ore chala
Aankhon se hua ojhal gardish vo chhodh chala
Kabhi vo chamakta tha par ishq me tere badnaam hua
Ek toota hua taara

Iska rona nahi tu ne ye dil barbad kiya
Bas yahi gum hai ki tu ne bahot der baad kiya
Kaash pehle kar jaati to dil naa lagata mein
Dekh aaj phir tujhe tere Aashiq ne yaad kiya
Dil na lagaata mein
Sapne naa sajaata mein
Kab ka tujhe bhool bhaal ke Aage badh jaata mein
Kaash! Mere bachpan ke doston ki baaton ko maan jaata mein
Kyunki tu ne diya dhoka par vo ab bhi mere saath hain
Varna kab ka marr jaata mein
Ye duniya kehti mein to kahin ka raha hi nahi
Aur tu mutmayin hai jaise kuch bhi to hua hi nahi
Mein to bas chup hu kahin tera tamaasha na bane
Par ye mat sochna ki mujhe tujhse koi gilaa hi nahi
Haan mein milunga tujhse aisi kisi duniya me
Jahaan tu aur mein khade honge dono sach ke ek tarazoo pe
Wahaa lunga mein hisaab tujhse tere kiye vaadon ke
Hoga bojh tujhpe tere vaadon ka
Tu royegi khoon ke aansu se

Dil to karta hai ke aaj khol du mein saare raaz
Par hu majboor mujhko inteqaam na aati raas
Tera to bhugtegi mujhe badla tujhse lena nahi
Bachpan se hi maa ne sikhaya ghum seh lena
Ghum dena nahi

Ek toota hua taara na jaane kis ore chala
Aankhon se hua ojhal gardish vo chhodh chala
Kabhi vo chamakta tha par ishq me tere badnaam hua
Ek toota hua taara

Jaise toota hua taara mein na jaane kis ore chala
Duniyadaari ishq wafaa
Mein sab kuch peeche chodh chala
Tu laakh tadpe tu laakh roye par ishq tujhe bhi naseeb na ho
Toote dil ki tujhe aah dekar
Mein gardish ko chhodh chala
Bas itna bata ki ab khush hai na tu
Koi mila ki nahi tujhe mujhse behtar
Bas yahi keh kar mujhe gayi thi na tu
"That I deserve someone better than you"
Log ishq ke maare phirte hain
Aur saccha ishq gavaa baithi tu
Badi hairat ki baat hai ab vo mere bina zinda hai
Jo kehti thi "I can't live without you"

Ek toota hua taara na jaane kis ore chala
Aankhon se hua ojhal gardish vo chhodh chala



Credits
Writer(s): Ehtesham Ansari
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link