Marham

Raahon ke havaalay
Tujh ko main kar chalaa hoon
Humsafar nahi ab hoon tera
Teri tarha main bhi
Is gham mein mubtalaa hoon
Manzilain humari hain judaa

Waqt banay ga teray zakhmon ka marham
Tou kya hua jo hain saath nahi hum

Jaana bhi zaroori hai
Sehni tum say doori hai
Keh lo ab yeh zindagi
Tanha hai adhoori hai

Jaana bhi zaroori hai
Sehni tum say doori hai
Keh lo ab yeh zindagi
Tanha hai adhoori hai

Waqt banay ga meray zakhmon ka marham
Tou kya hua jo hain saath nahi hum

Raahon ke havaalay
Tujh ko main kar chalaa hoon
Humsafar nahi ab hoon tera

Waqt banay ga teray zakhmon ka marham
Tou kya hua jo hain saath nahi hum



Credits
Writer(s): Shayan ⠀
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link