Falak Pe

Falak pe chand taaray bhi teri naatain sunatay hain
Jo sun kay anbia saaray falak pe muskuratay hain
Sabhi nazrain jhukatay hain
Khuda kay aasmano pe Muhammad (p.b.u.h) aisay aatay hain
Falak pe chand taaray bhi teri naatain sunatay hain

Bara taareek manazar tha
Jahal me dooba hr dil tha
Na koi shamma roshan thi
Na rasta tha na rahber tha
Jaha na kuch sujhayi de
Jahal bhi haq dikhayi de
Wo basti kaabay ki to thi
Magar na rab dikhayi de
Jaha na rab dikhayi de
Waha noor-e-khuda aayay
Ke ab tak jagmagatay hain
Falak pe chand taaray bhi teri naatain sunatay hain

Wo taizi bayhisaab ki
Baraq jese buraq ki
Ke pal me asmano me
Sawari thi janab ki
Koi pekar he noor ka
Safar krta h duur ka
Khuda bhi muntazir he
Aj wo alam he noor ka
Bataon kia rasool (p.b.u.h) ka
Yaha ik pal bhi na guzra
Waha sadiyan bitatay hain
Falak pe chand taaray bhi teri naatain sunatay hain
Jo sun kay anbia saaray falak pe muskuratay hain
Sabhi nazrain jhukatay hain
Khuda kay aasmano pe Muhammad (p.b.u.h) aisay aatay hain
Falak pe chand taaray bhi teri naatain sunatay hain

Ya muhammad mustafa (p.b.u.h) aaye bahaar aayi yahaan
Is chaman baynoor ko kr ke gaye he gulsitaan
Aor phir aal-e-nabi ne day dia isko dawaam
Taa abad hota rahay ga zikr-e-mola aor khuda



Credits
Writer(s): Tahir Abbas
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link