Des Mere, Tere Saath Hain Hum

Des mere des mere des mere
Des mere des mere des mere

Jo band hain yeh chaurahe bajariya
Gaon mere yeh sari nagariya
Dhul jayengi dhul jayengi dhul jayengi

Daudenge raste yeh dagariya aur sabhi khushiyon ki gathariya
Khul jayengi khul jayengi khul jayengi

Abhi door se dua salaam karo aur haath jod pranaam karo
Karna hai abhi yeh kaam karo abhi kuch din poorna viraam karo
O des mere O des mere tere saath hain hum.
O des mere humein teri kasam O des mere muskaan teri
Tu jaan meri tu shaan meri
Des mere des mere des mere
Des mere des mere des mere

Jab samay ka chakka tham jaaye aur aag baraf si jam jaaye
Hum toh woh bhaarat wasi hain jo vijay pataaka lehraayein
Ummeed jeet ka hai zariya
Paani ko hum kardein dariya

Is jang ke saare sipaahi hain sang mein yeh humraahi
Hum apne gharon mein hain salaamat jeeteinge hum yeh ladaai
Des mere des mere des mere

Abhi mushqil yeh asaan karo haalat hain jo anumaan karo
Jo dhyaan hamara rakhein hain
Un veeron ka samman karo
Des mere O des mere tere saath hain hum
O des mere humein teri kasam
O des mere teri fikra rawaan
O des mere tera jikra jawaan
O des mere muskaan teri
Tu jaan meri tu shaan meri
Des mere des mere des mere
Des mere des mere des mere



Credits
Writer(s): Mukul Puri
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link