Sooraj Wahin Hai (Demo)

Haan yeh raat kaali sahi
Kaali kaali-siyaahi se bhi hai
Maana hadd se hai zyada badi
Par ghabrao naa
Sooraj wahin hai
Par ghabrao naa
Sooraj wahin hai

Sadakon pe kuchh din
Dhuaan hai nahin
Kuchh din tak
Kash kheechna hai nahin
Boriyat ke maare
Ya mummy ke darr se
Nahaane mein kuchh din
Ab ghapla nahin

Tumhari khidki se dikhti hai jo
Tumhari khidki se dikhti hai jo
Us imaarat ke peechhe
Kahin na kahin hai
Par ghabrao naa
Sooraj wahin hai

Aankhein band kar ke
Paise jo udaate the
Aankhein band kar ke
Paise jo udaate the
Papa se poochho
Karzdaari kitni hai
Mann kiya tha jab bhi
Pizze mangaate the
Mann kiya tha jab bhi
Pizze mangaate the
Poochho maa kya chawal mein
Paani sahi bhi hai
Poochho maa kya chawal mein
Paani sahi bhi hai

Tumhari khidki se dikhti hai jo
Haan tumhari khidki se dikhti hai jo
Us imaarat ke peechhe
Kahin na kahin hai
Par ghabrao naa
Par ghabrao naa
Par
Ghabrao naa
Sooraj wahin hai



Credits
Writer(s): Saurabh Tripathi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link