Rang

Aankhon mein samaaj ka dhool
Dhool mein ye badta phool
Phool mein ye bhari umang
Na sunta na dikhta ye rang

Aankhon mein samaaj ka dhool
Dhool mein ye badta phool
Phool mein ye bhari umang
Har rang ko ye karta qubool

Duniya me kali ye sardi ki
Floyd bhai ne pehni thi kali ye vardi
Aur lathi ne phada is vardi ko jaldi
Ab phool ke is Amrt me baitha hamdardee

Alag desh madhumakkhe jaise aake peete
Nyaay ke paraag pe log unke chite
Jativaad ko khatam karke peete
Wahi rang ke chitr leke jeete

Aankhon me samaaj ka dhool
Dhool me ye badta phool
Phool me ye bhari umang
Na sunta na dikhta ye rang
Na sunta na dikhta ye rang
Na sunta na dikhta ye rang
Har rang ko mai karta qubool

Karta qubool har rang ko mai
Shabd mere bhege hai rango me
Kala ab ucha tirango me
Hindustan abhi khelra in rango se

Shudh hai ye bolte par bhand hoke
Floyd ki in rango pe rand hoke
Ankh abhi khuli prachand hoke
Khushi ki floyd sambandh me sab dand ho gaye

Par apne chai me chini zyada
Ye jung me tum ladre aadha
Nakli vaada
Saada ki
khudki ye baadha ko
Mitane ka na hai iraada

Niptane nikle the keel
Par phirbhi ham hai ashleel
Saat beheno ko
Ab bhi tum karte zaleel

Brahmaputra ka ye neel
Se behti hai lal jheel
Dil ke hai wo acchae to
Jativaadi ke lavse dheel

Chote aankh
Phirbhi dikhta tesse zyada
Khule aankh
Phirbhi dikhta tujhe aadha
Kyuki

Aankhon me samaaj ka dhool
Dhool me ye badta phool
Phool me ye bhari umang
Na suno na dekho ye rang
Na suno na dekho ye rang
Na suno na dekho ye rang
Har Rang ko tum karo qubool



Credits
Writer(s): Nihal Bordoloi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link