Jwallah

Andar he andar ab jalke main jwala hoon
Chaar deewaro mein baitha mai khawla hoon
Mera toh baap
Dunia ke paar
Roshan wo naam uska karne mai aaya hoon
Gaadi do ghar ek aur meri kamayi Paya mai sab bas music ki ladai
Kaisa zamana na rahi bhalai
Arey dum pe mai apne karunga dhulai
Sikke do paanch ke rehte the jeb mein
Khushia toh tab thi khaane samose mein
School ke din bhi the kya kamal Nikle toh samjhe ye dunia bawal
Chume wo haath mere papa ki laash ke
Jeena mai seekha wo din uske baadse
Maa ke wo haath bane do do se chaar
Mere sar pe maula ka pyaar
Daru ki bottle aur gaanje se jaari hai Babaji bhole ke hum bhi aabhari hai
Papa ka kaam bigada jisne
Uspe toh karma
Aaj bhi bhaari hai
Pehni jo chainey anguthiya nakli hai
Dil mera sone ka asli hai
Mai toh toofan ab kismat ki baari hai Roz roz roz kabse ye jaari hai
Dhaniya mai dal mein kab tak khilaunga
Mera toh sapna gaana sunauga
Baap kehta tha tv pe dekhunga
Ab kaha wo mai zindagi jhelunga
Lagake gale wo pappiya deta tha Baho mein mere kabhi kabhi rota tha
Ab meri baari ye mera rajyog hai
Meri safalta maa papa ka bhog hai

Paisa ye paisa ye khel saala kaisa
Meri maa kehti mujse tu kitna kharachta
Itna kamaunga dunia ye dekhegi
Roz udaunga leke na jauga
Bhakt mai maula ka roop anek
Ye tera god mera god itna na fek
Shraddha toh dil se hai mandir na jaa
Do pal khushio ke baat zara
Daru kam daru kam daru kam pii
Mujhe roz ye kehke pakate hai
Mai din raat subah shaam
Hosh mein na rehta jaan
Aisi he saari fizaye hai
Dil se haa dil se ye jaana hai maine
Jana na sath kuch farzi ye gehne
Ghadi ke kaato se chalta insan hai
Meri baat maan ye toh faaltu paigam hai
Ulte wo sulte wo kaamo mein daab hai
Aise toh raasto pe chalna aasan hai
Mushkil toh banna seedha yaha hai Nazro se dekh mere sundar jahan hai
Bachpan se dekha ye dunia harami hai
Kitna batau saare panne khaali hai
Wajah wo log seekha dena gaali hai Mai fakeer saath chillam aur saafi hai
Yaadein toh itni banake mai jaunga Sath daddy ke ganjga jalaunga
Upar se dekhunga dunia ye kaisi hai Fir haske bolunga
Meri na bas ki hai
Meri na bas ki hai
Dunia mein aana toh saali ek galti hai
Insan ki niyat toh pal mein fisalti hai Khabre wo padhkar
Rooh jalti hai



Credits
Writer(s): Aniesh Rana
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link