Yakeen (Shaashwat & EPR)

Hue tum yun judaa jo humse
Tham gaya ye samaa ekdum se
Kuch nahi hai paas ab mera
Jaaun mai chaahe jahaan juda hoon tere mann se

Haan hoga phir mujhe
Sang tere hone par yakeen sa
Sach hoga ya koi
Khwaab tu bada haseen sa
Bas itna chaahe ye
Dil mera

Manzilon se zyada raaston mein sukoon tha
Kyunki har ek mod pe sang mein tu tha
Hoke faqeer bhi ameer sa tha dil mera
Chaand pe ghar kar loon. asar kuch yun tha

Haan hoga phir mujhe
Sang tere hone par yakeen sa
Sach hoga ya koi
Khwaab tu bada haseen sa
Bas itna chaahe ye
Dil mera

Bezubaan - e - ishq imtehaan
Kambakht pinjra parinda ka
Ab ho riha na kismat ko kaid
Kashti mohabbat ko tere lehar
Bagaair safar ke na saahile-e-shayaari
Shayar ko mere chaahat-e-rahaat
Kagaaz men mere behti sada siyaahi teri
Shayad na kabhi ho juda ye khuda se Guzaarish
Inqalaab-e-ishq junoon barish
Ghazal-e-Ghalib har lafz tera
Adaat tu meri meri saadhna
Meri rooh meri aatma
Na ab intezaar Kyuki waqt har waqt hota zaalim
Ho pyaar gunaah main guman se mujrim

Haan hoga phir mujhe
Sang tere hone par yakeen sa
Sach hoga ya koi
Khwaab tu bada haseen sa

Haan hoga phir mujhe
Sang tere hone par yakeen sa
Sach hoga ya koi
Khwaab tu bada haseen sa
Bas itna chaahe ye
Dil mera



Credits
Writer(s): Shaashwat Pande
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link