Alag Aasmaan

Nayi nahi hain, yeh baatein wahi
Phir iss mod par hum mile hain
Na jaane ab milenge hum kabhi
Toh ruk jaao ek pal yahaan pe

Yeh narm chaadron ki silwatein
Tujhe abhi bula rahi hain
"Na jaao door inse," yeh kahein
Yeh sukoon kahaan pe hai haasil?

Dil ko mere yeh hai pata
Ki meelon ka yeh faasla hai
Alag aasmaan bhi hai toh kya?
Yeh dil na maane

Yeh gaadiyon ki aisi daud sa
Tera bhi dil daudta hai
Haan, jaa rahe ho door tum toh kya?
Main hi toh dil ka musafir

Toh ek baar phir tu hans ke zara
Dekh le meri in aankhon mein
Main qaid kar loon har woh pal tera
Teri yeh baatein jo hain

Toh aur kya hain yeh baatein, bata?
Kyun ab din bhi dhalta nahi yeh na ho toh?

Tum ude jaa rahe yeh aasmaan mein
Khidkiyon se dekh tu pahaadon ko
Yoon chhote se lage
Hain kitne bade jo hon saamne

Door jo hain khade
Unhein bhi yeh humari zindagi
Yoon titliyon si chhoti-chhoti si lage
Hai kitni badi nahi jaante

Khali ghar tera
Yeh chaabiyon ki goonj aise
Tujhe dara rahi, tu darna nahi
Main hoon yahin par

Ab alag aasmaan hai
Aur hai zameen bhi kuch alag si
Par miloge jab kabhi toh dekhna tabhi
Main kuch alag nahi



Credits
Writer(s): Anuv Jain
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link