Mere Papa

Bachpan se thi ye hi khwahish, papa jaisa banna tha
Maa ka dil hai khuli kitaab, Baba har wo panna tha

Jab kehti mummy gusse mein, papa tumhe sudharenge
Lekar hatho mein Basta, hum padhne baith jaate they
Sham ko aate wo office se
Har subject yaad karaate they

Exams mein hum galti karte, fir daat zor se khaate they
Lekin fir agle hi pal wo, pyar se bhi samjhate they

Yaad aati hai wo fatkaar, jab number Kam aajate they
Fir kyun papa do din Tak tum khana bhi nahi khate they

Ho Diwali ya dusherra, Kapde Naye Dilaate they
Khud 2 Jodi kapdo mein, pura saal bitaate they

Kyun Meri ek choti zidd par, khulkar sab samjhate they
Kyun meri har mushkil ko tum yunhi Hal Kar jaate they

Jab maa ka saya nahi raha, tum khud Mamta ban jaate they
Pyar bhara tha itna Dil Mein, Fir kyun Nahi Jatate they

Ab ho humse itna door, kitna kuch yaad aata hai
Tumko Roz Na Gale lagana, Na jaane kyun khal jaata hai

Kyun nahi kehte Tumse har din, hum kitna pyar tumhe karte Hain
Kho denge ek din tumko shayad, ye sochke bhi hum darte Hain

Kyun Hain aisa ki mushkil hai, har baap ka pyar jataana
Jo bhi ek maa karti hai wo baap ka bhi Kar jaana

Maa tu sabse pyaari hai, tujhse har aangan pura hai
Lekin mere papa ke bin, ye jeevan bahut adhura hai... ye jeevan bahut adhura hai



Credits
Writer(s): Naman Rajvanshi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link