Yodhha

Tute dil ke makan sari raatein kurban
Khushi dekh pareshan wahi asthin ke sanp
Nahi daste yeh muh se hai kali zuban
Parvarish nahi khoti pedaishi shaitan
Laga mujhko main khota aur bikhra tha yaar
Baiman na thi soch bhari firse udaan
Kaptan hun main change kiya dhyan ko awaam
Pardefas benakab jali soch sarvanash
Kyun udaas main hatash jabki sab mere pass tha
Main kash tha main khudko talashta
Main YODHHA main janta na kiski talash main tha ans main tha
Dhund raha jo pass main tha khun main tha par ghum main tha
Yeh jan liya hai maine khush tu tha jab ghum main tha
Par dekh beta sina thok khada Laya rokda maina joke tha
Khaula khun beta ab dum daba Behrupiya yeh le rupia ab jhum beta
Kartab dikha baje gantiya mat ruk beta behrupiya ab jhum beta
Aab jhum beta YODHHA

Paigam mere jaani kabhi khud ko tu jaan
Sare aam nahi bikte yeh juth ke makan
Taare sare mere sath kai barso se yaar
Nahi krta ghamand, tuta main bhi hun yaar
Salute krta hun jo sachhe hai yaar
Dushman nahi jani tu khud hi se pareshan
Kabhi shanti se andar ke dil ko tu jankh
Mile dusro ki batain jo krta tu aaj
Teri ek ek baat plagiarism karar
Akal se nakal krte mujrim faraar
Nahi manta main doshi abhi bachche hai yaar
Jina sikh rahe kafi kachche hai yaar
Main manta hun honge tere kharche hazar
Dikhe sabka hi kaam tujhe lagta bazar
Uthalu yahan se main koi auzaar
Arre khulte hai parche yahan har din hi yaar hahaha
MAT KAR

Gira main bhi hun yaar apne sapno ko mar
Meri zindagi savar main hun Utah har baar
Sab dhundhla tha dikha mujhe kuchh nahi yaar
Nahi jit paya duniya ko kal se main yaar
Fir khud ko milaya maine aaj se to jaan liya
Mujh mein woh baat lagi aag khuli ankh dikhe saf
Jo bhi sanp mere sath kai bar
Bhole nath ke bhi hath main the sanp
Maine aap samjhaya tu hai jiski talash
Dhundu firta jahan main jise andar hai yaar
Mujhe gagar main sagar bulate hai yaar
Mujhe gagar main sagar bulate hai yaar
Mujhe gagar main sagar bulate hai yaar



Credits
Writer(s): Yash Trivedi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link