Galti Thi Meri

Mai sunne ko betaab ek goonj us awaaz ki
Karna chaahun firse mehsoos uski saadgi
Aankhon ne ki aas fir deedar k aagaz ki
Par jaa chuka ye mouka tabse jabse wo hai jaa chuki
Jaa chuki hai saath me kataar mere saanson ki
Mit gayi lakeere jaise saari mere haaton ki
Ab matlab bhi kya raha in betukhi si baaton ki
Aakhir me to mai hi hun wajah mere haalaton ki
Na baaton ki kadar ki
Naa ki parwaah jazbaaton ki
Sach pe daalta raha parda bas
Kisi se bhi na milta hun khudse baatein karta bas
Khud hi khudki complaints mai khudse jaa k karta bas
Aisa karte karte beetein kitne hi mahine
Par milta mujhko chain naa hi raat me na din me
Bachi aakhri kuch saansein, mai baitha inko ginte
Sochu ghar ko mere mai badal doon suicide scene me
Haan lagta yai hai sahi

Ohh jaana oo jaana hai ab maine ye jaana
Kya galti thi meri meri
Tujhko sunna sach tha mai deta raha bahaana
Ye galti thi meri meri

Na kyun samajh paaya wafa ka kya h maayna
Wafa na ki upar se sacchai bataayi na
Na khudko dekh paaun ab jab bhi dekhun aayna
Lage k mere andar ab zara bhi mai bacha hi na
Bataaye na!! kyun koi apna bhi bataaye na
Dete sab tasalliyaan kyun deta koi upaaye na
Chupaaye na hai chupta ye dard hai dikhta chehre par
Keh de tu, karne jo karunga tere kahne par
Tu chaahe daant jitna mai sununga tujhko chup ho kar
Chaahe tu mai wo karun, ishaara-waara kuch to kar
Chaahe tu to chaahun tujhko tujhme hi mai ghum ho kar
Yaa chaahe tu to bheekh maangunga mai aa k ghutnon par
Bhulaun tujhko kaise meri yaadon me jami tu
Haan mujhse kuch missing hai mere jism ki kami tu
Agar aa jaaye abhi tu fir na aankhon me nami doon
Yadi tu naa aai to jaan de naa mai kahi doon.
Haan lagta yai hai sahi

Ohh jaana oo jaana hai ab maine ye jaana
Kya galti thi meri meri.
Tujhko sunna sach tha mai deta raha bahaana
Ye galti thi meri meri.

Toota dil mera aur khwaab saare toot gaye
Bharose the jo mujhpe sheeshe jaise toot gaye
Haan kehte the jise laayenge taare tod kar
Ab hota nahi yakeen unse rishte saare toot gaye
Zindagi me paale jitne bhram wo pal me toot gaye
Toda dil usi ka jisko chaaha maine toot k
Toot gayi khwaahishein aur toota hua aasmaan bhi
Toote dil se keh raha mai toote dil ki daastan
Haal hai dil ka kya kahun mai kaise keh doon haal-e-dil
Haal hi me jo hua hai jaise sab gaya hai hil
Haadsa ye kaisa ho gya ye kya kahun mai sach me
Jo hua, kyun hua firta ye hi keh raha mai

Ohh jaana oo jaana hai ab maine ye jaana
Kya galti thi meri meri.
Tujhko sunna sach tha mai deta raha bahaana
Ye galti thi meri meri



Credits
Writer(s): Hawk Eye
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link