Ayesha-O-Fatima Pe Lakhon Salam

Keh raha he Sarwar-e-Dunya o Dee'n ka har Ghulam
Jaari o saari rahe har dam zubaan-e-khaas o aam
Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما pe laakhon salaam

Bay gunah o bay khata hen Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما
Bay riya o bay dagha hen Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما
Laai he baad-e-saba Ghaus o Raza ka ye payam
Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما pe laakhon salaam

Baa adab sar ko jhuka kar inke ghar aayen Malak
Inke aanchal ko kabhi bhi dekh paaya na falak
Aaya-e-Tatheer me he inki paaki ka payam
Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما pe laakhon salaam

Fatima Zahra he mere Mustafa ﷺ ki laadli
Ayesha he baais-e-chain-o-qaraar-e-Mustafi
Dono ke haathon se qaaim Ishq ka saara nizaam
Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما pe laakhon salaam

Inki ulfat asl me he ulfat-e-Zaat-e-Rasool ﷺ
Inki midhat me he muzmir midhat-e-Aaqa ﷺ ke phool
Wo Khuda ka hogaya jo hogaya inka Ghulam
Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما pe har ghari laakhon salaam

Aek lamha bhi juda hargiz nahi dono kabhi
Aek Zoja-e-Muhammad ﷺ aek Dukhtar laadli
Dono hen sheer-o-shakar dono ke lab par aek jam
Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما pe har ghari laakhon salaam

Kyun tafarqa daalte ho inke pyare naam par
Kyun laraate ho tum Ummat inke khaas-o-aam par
Dono ki izzat karo dono ke banjao Ghulam
Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما pe har ghari laakhon salaam

Mustahiq-e-Naar he gustakh-e-Zaat-e-Fatimi
Baargaah-e-Ayesha ka bay adab bhi laanti
Wo hi Momin jo hua Rashid tahay Dil se Ghulam
Ayesha o Fatima رضی اللہ عنھما pe laakhon salaam



Credits
Writer(s): Allama Rashid Qadri
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link