Sayasatdan

Kahani hai hazaaron saal purai
Jo humne likhi
Hum kaisay bhool jatay hain
Sarkar ka hukum ya nachna
Jao naujawan
Unko zinda naa chhoro

Apni maa'on behnon ko chhoro
Apni izzat liye lar lo
Apne aap ko yaad rakhna
Dushman se nahin hai darna
Tum bhi tau kuch soch lo zara
Jang larne main rakha hai kya
Sayasatdanon se sawal poocho
Pyaar mohobbat ke khilaaf kyun ho tum

Kahani kab bannay ki doston
Kuch tau kaho
Hum saray so rahay hain
Paisa Khuda bana diya
Jao naujawan
Apni awaz uthao

Masoom bachay marr rahay wahan
Iss main insaniyat kahan
Salam hai tujh par ameeron
Nikle ho khudgharz kameenon
Tum bhi tau kuch soch lo zara
Jang larne main rakha hai kiya
Sayasatdanon se sawal poocho
Pyaar mohobbat ke khilaaf kyun ho tum

Masoom bachay marr rahay wahan
Iss main insaniyat kahan
Salam hai tujh par ameeron
Nikle ho khudgharz kameenon
Tum bhi tau kuch soch lo zara
Jang larne main rakha hai kiya
Sayasatdanon se sawal poocho
Pyaar mohobbat ke khilaaf kyun ho tum



Credits
Writer(s): Sikandar Ka Mandar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link