Nazrein

Jin nigaaho se tha mai mila
Uski baate kru aaj kya
Thi dikhne me lagi wo jheel si mujhe
Jise shayad kar na saku mai baya

Unhe dekhna ab hai chahat bani
Jinhe chaahna ab ibadat bani
Har kadam har safar hai usike liye
Kyuki jeene ki ab wo hai aadat bani

Thami si meri dhadkane
Pal me hi thi badhne lagi
Masoom si un aankho me
Ek khwaab ko chun ne lagi

Us chaandni raat ki wo baat jo
Aankho se wo karne lagi
Jise jaan ne ki aas me
Meri nigahe badhne lagi

Us raat nazro se nazre ulajhti gayi
Jis se chahah ki baate sulajhti gayi
Khudme hi mai tha bikhar sa gaya
Jisko nazro se apne wo samajh kar sametti gayi

Wo chaand sa chehra mere
Kareeb tha aane laga
Jise dekhte hi dekhte
Dhadkan ko dil badhaane laga

Harpal use hi soch kar
Ye dil hai ab gaane laga
Aur uski kahani apni zubaani
Ye dil sabhi ko sunane laga

Tha unse mila to dil ye mera
Doori se rihaah hua
Tha unse mila to mera jahaa
Raaton se subhah hua

Tha unme dikha
Mujhe chahat ka sama
Jis se khaamosh din khaamosh rato se mai
Pal me juda hua

Unhe dhoondhna ab hai aadat bani
Jinhe chahna ab ibadat bani
Har kadam har safar hai usike liye
Kyuki jine ki ab wo hai rahat bani



Credits
Writer(s): Ashish Jha
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link