Kargil War

Mere pote ko sunaya aaj maine ek kissa
Dil daheladeta vo manzar meri zindagi ka hissa
Naujavan bana jaata he jawani kurbaan karke
Hatho me bandooke aakho me intekaam bharke
Lade the hum jab kargil pe var hua
Napak unki koshise tabhi ye narsanhar hua
Hara hua pakistan us din pura tut gaya
Iss jang me mere dost ka sath bhi chhut gaya

Yaad he vo fauji jo gaata jese rafi
Chot lagi galepe khun beh gaya kaafi
Nafrat jinki nas nas me khuda bhi dega na maafi
Nainsaafi hui nojawano ke sath
Sir kalam hua kisika kate kisike hath
Jeet hui thi humari fir bhi man udaas
Sab so jate safed kafan me chain ki neend
Vo gae tiranga oadh ke bharat maa ke pas
Reh gai unki bas yaade aur vardi pe khooni nishan
Chun chun ke ha mara jaise vo chidiya ki aakh aur goli meri arjun ka baan kaman sambhadli mene
Ha jaan li mene hevano ki
Teen rango ko bachane chautha he bahaya unka
apni had me raho samjaya ruk na paaya saya unka
2 mahine chalti rahi jung ha lade hum har dum
Unglio pe gine ja sake itne bache the hum fir bhi hum lade na dare the khade the vaha pe pade the shav khun bhi bahaya
bachaya ha laya tha vapis desh ke tukde ko
Gavah he vo parvat aur uska zarra zarra
Kho diye humne tare jaise Captain Vikram Batra

30 sal tha fauj me nibhaya mene farz
Jeeti jung hua ghayal uatar mene karz
Mere sar pe kafan dil me desh ke liye pyaar
Joint family mera desh 133 crore logo ka ye parivar ha deta muje taakat aafat se ladne ki
Aage badhne ki ashanti me hi jinhe milti he shanti tode vo cease fire
Saale sab ke sab vo kayar peeth
peeche var kare fir bhi jaate har
Hum dahade choti pe jaise ghayal sher
har bar kare jit ka aelaan

Aaj b harroz amar javano ki maa roti he
Hava pani muft aazadi ki kimat hoti hai
Saare bolo aazadi ki kimat hoti he
Tum bhi bolo aazadi ki kimat hoti he
Hath upar aazadi ki kimat hoti he



Credits
Writer(s): Half Masterpiece
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link