Jaan Boojh Kar

Aankhein jaan boojh kar
Band kar leta hoon aaj kal
Chadar sir ke upar
Zyada oudhta hoon aaj kal
Kyonki bahar to andhera hai
Maane kyun sabhi ka savera hai
Jaane kyun vo phir chale aaye
Aur ye chadar phisal jaaye
Bhor hai
Dil me mere kyun ye shor hai basa
Sahi galat
Ka itna kyun kam faasla
Faasla
Jhoothe sitare the
Jinke tale hum chale
Din hote hi jo mitt gaye
Kal tha mera aa jaaye phir kabhi
Maana ye baatein thodi matlabi
Main zubaan jaan boojh kar
Band kar leta hoon aaj kal
Beetein yaadon ke vohi manzar
Baarhaan oudhta hoon aajkal
Kyonki bahar to andhera hai
Maane kyun sabhi ka savera hai
Jaane kyun vo phir chale aaye
Aur ye chadar phisal jaaye
Aur ye chadar phisal jaaye
Aur ye chadar phisal jaaye



Credits
Writer(s): Aditya Kalway
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link