Ghadeer Wala

Ali mola ali mola
Ali ali ali ali mola mola
Ali ali ali ali mola mola

Ali mola ali mola

Ghadeer waala ghadeer waala
Mai hoon janabe ameer waala

Palat rahe the jo haaji madine ko sab khuda ke ghar se
Jo pahuche khum me to jibreel rab ka paigham leke aaye
Kaha khuda ne nabi se suna do sab ko kaha jo maine
Aye mere bande na hoga hargiz kabhi mukammal ye deen warna

Kajave lekar banaya gaya jo maidane khum me mimbar
Pukare ahmad kahan hai wasi mera bhai mera haidar
Kaha nabi ne sabhi se ye khum haidar ka haath uthakar
Kalame haq hai mai jiska mola ali bhi hain ab se uske mola

Mera ali hai bahut hi baland aala maqam waala
Mera ali hai mohammad ka janasheen aur imam pahla
Mera ali hai wo jiske liye falak se sitara utra
Qasam khuda ki qasam nabi ki mere ali sa nahi hai dooja

Sabhi musalman bahut dar rahe the marhab ka naam sunkar
Jo jaa raha tha akadkar wo aata maidan se moo ki khakar
Nidaay ghaibi ye aai bulao haidar ko aye payambar
Jo aaya khaibar me mera mola to jaake marhab ko maar daala

Kia ye sauda mohammad ke badle bistar pe toone sokar
Khuda ki marzi kharidi khuda ko hi apna nafs dekar
Kia hai ahsaan phir ik baar deen pa ahmad ki jaan bachakar
Subhe qayamat talak ye naara har ik zaban par saja rahega

Bada hua mai jahan me teri shajaat ke qisse sunkar
Bana deewana tera mai teri sakhawat ke qisse sunkar
Bana hu saccha aye mola teri sadaqat ke qisse sunkar
Isi liye to har aik lamha meri zaban par hai aik nara

Ye wo ali hai ke jiska nahi hai saani jahan me koi
Isi ki khatir falak se zameen par zulfeqar aai
Sharaf mila ye lise aalameen me ye bata de koi
Sawar hokar nabi ke shano pe ghar me rab ke buto ko toda

Raza o mahdi hai jo is jahan me murtaza ka dushman
Hai asl me wo ali ka nahi wo hai mustafa ka dushman
Ali ka dushman hai wallah nabi ka dushman khuda ka dushman
Jo inse rakhega dushmani wo hamesha dozakh me hi rahega



Credits
Writer(s): Ali Irani
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link