Udasi

Fir aur ek baar ek jivan ki haar
Iss dunia ki daud mein hogaya kurbaan
Wo bhatka sau baar akela wo latka na kisika wo yaar
Gaya dunia se haar
Kya udasi hai yar
Kyu aisa har bar
Wo sukh mein ya dard mein hoga lachaar
Suno uski pukaar
Bas pyaar ki maang ki na chaha sansaar
Kya udasi hai yar

Udaasi ye mann me muskan shakal pe
Tu jeena gavadega sapno pe kal ke
Stress tere sar pe kam padte kapde
Janma jo ghar mein wo ghar tere sar pe
Kabhi mann off ye lage bada khauf
Hatya fir aatma khooni the shaant se
Dunia bikau
Janta vichar
Gunde na sadko pe industry naam ye
Kabhi kabhi bohot sara rob
Kabhi tera tope clone kia
Jhuta wala phone kia
Sapne dikhake haram kia neend
Khaana khilake sawal kia
Bada tera bol chal badi badi gaadi
Tere kapde bhi zordaar
Ek ek eet banadi imaarat
Khodega saasein tera kya soch aaj

Kya udasi hai yar
Kaisi udaasi aur fir kyu ye faasi hai
Dil mein umeedein par dunia se kaafi hai
Thak gaya tu jalgaya
Dunia ye farsh tu ispe fisal gaya
Kuch ki hai faasi lagate kuch saafi hai
Mann mein jo tere tu karle insaafi hai

Ab sun meri baat tu karle ehsaas
Ye dunia ho jaisi bhi hum tere saath
Haan maana ki dard hai jeene mein yar
Ek mauka toh khudko tu dede ek baar

Mann kare baatein bole tujhe kar ye wo
Kadmo ko le wo zyada na soch
Kabze mein the wo chahta tha khoj Kamre mein dhero
Lage mujhe pure pure failure na
Society fear daru ke dealer na
Bikri haqiqat mein khushia do palo ki
Aakhein bekhauf mehnat hai palko ki

Haan udasi hai yar tu bhatka har bar
Le sahara umeedo ka haar na maan
Ladle jazbaato se kar gussa ya waar
Jo chahe tu karle kar khud se tu pyar
Kya udasi hai yar

Kaisi udaasi aur fir kyu ye faasi hai
Dil mein umeedein par dunia se kaafi hai
Thak gaya tu jalgaya
Dunia ye farsh tu ispe fisal gaya
Kuch ki hai faasi lagate kuch saafi hai
Mann mein jo tere tu karle insaafi hai



Credits
Writer(s): Murtaza Ezzi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link