Har Zabaan Pa Ya Hussain

Ya mola ya mola
Ya mola ya mola

Ye aza ka silsila ye wafa ka qafila
Ya mola ya moal
Chauda sadiyo baad bhi aaj tak nahi ruka
Ya mola ya moal

Mit gai yazidiyat zinda hai hussainiat
Kul jahan ko hosla de rahi hai karbala
Kah rahe hai ye zamino aasman ya hussain

Haath utha ke momino mil ke bolo ya hussain

Mere dil me ya hussain aur zabaan pa yahussain
Har zamee pa ya hussain aasman pa ya hussain

Ya hussain azmaton ka aasman
Ya hussain har nabi ka paasban
Ya hussain be zabano ki zabaan
Ya hussain inqelab ka nishaan
Ya hussain hai mera rahnuma
Ya hussain hai marziye khuda
Ya hussain hai ishqe mustafa
Ya hussain hai khalq ki baqa
Ye nara jab gunja momeneen jawab me kaha

Karbala hamari pasban hai
Karbala hussainiyon ki shan hai
Karbala me amn hai amaan hai
Karbala zamee pa aasman hai
Karbala me hai fatima ka chain
Karbala me hai rozay hussain
Karbala me hi hai ali ka ain
Karbala me hai akhiye sayyadain
Ye duniya wo duniya dekhne lagi basi jo karbala

Tune zaban se jo kaha sach wo zamane me hua
Wo bhi kia tune ata jo na tha qismat me likha

Ya hussain tu bada kareem hai
Tu nabi ka laal hai azeem hai
Tu khuda ka banday raheem hai
Teri raah raahe mustaqeem hai
Har amal tera bemisal hai
Ba amal hai tu ba kamal hai
Tujhme mustafa ka jamal hai
Tuyjhme murtaza ka jalal hai
Ik sajda tujh jaisa kar na paya koi banday khuda

Ya hussain ki sada hai har taraf
Kaba karbala madina aur najaf
Ya hussain besh qeemti sadaf
Ya hussain ka azeem hai sharaf
Hai mera hussain shane panjetan
Panjetan ka hai aik hi sukhan
Hai hussain ki khas anjuman
Mustafa ali fatima hasan
Wo pyara hai rab ka fakhre do jahan hai shahe karbala

Ya hussain dil ki dhadkano me hai
Jism rooh khun me ragon me hai
Ya hussain matami safo me hai
Ya hussain haq ki majliso me hai
Hain jahan khuda hai wahan hussain
Hai jaha ziya hai wahan hussain
Hai jahan wafa hai wahan hussain
Hai jahan azaa hai wahan hussain
Duniya ka har gosha matame hussain ke liye bana

Aa gaya hai mosame ghame hussain
Ashke gham se hogi tar zameene nain
Beqarar dil ko ab milega chain
Mere ghar me honge mehmaan hussain
Do mahine aur aath din talak
Roz aaynge mere ghar malak
Shaah ki aza ki dekhne jhalak
Chal ke aaynge sakine falak
Sar sab ke kham honge farshe gham pa aayngi jo sayyada

Ya hussain badshah ya hussain dee panah
Ya hussain mustafa ya hussain murtaza
Ya hussain rahnuma ya hussain aasra
Ya hussain ki sada ya hussain se wafa

Ya hussain jis makan pa likh dia
Us makaan se door ho gai bala
Ya hussain ka bada hai martaba
Uske samne meri bisat kya
Mai ghulam hu wo hai badshah
Mai hu khak wo noor se bana
Uski manzilat uska martaba
Is jahan me hai kise pata
Ye rutba hai uska uska nana jaan shahe ambiya

Ghar hussain ka hai bemisal ghar
Dar hussain ka hai bemisal dar
Jis jagha mile malak ko baalo par
Rahib aaya mangne jahan p0isar
Dar pa shah ke hur jo aa gaya
Hur ko shah ne hur bana dia
Bakhsh di khata ki jina ata
Jab hussain ne ye karam kia
Hur bola ya mola aap hi hai do jahan ke baadshah

Mahdi mazharo raza hussain se
Jo bhi jisko chahiye wo maang le
Wasta sakina ka dua me de
Dar khulenge rahmato ke baab ke
Hoga haajato se siwa ata
Jo kahenge shah dega wo khuda
Azmate hussain hai hume pata
Ye kahenge jo hoga wo sada
Jo maanga wo paya jab sakhi hussain se maangi dua

Jinke sar pa koi saaybaan nahi
Aaj jinka koi paasban nahi
Jinke waste kahin amaan nahi
Jinka koi meere kaarwan nahi
Unpa kijiye saayae karam
Aye shahe ataa aye shahe umam
Bhejiye madad warise haram
Door kijiye bekaso ke gham
Har mushkil ho aasan sab ko dijiye hussain aasra



Credits
Writer(s): Mazhar Lucknowi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link