Ek Musafir

Girta chala sambhalta chala
Iss hawa ke saath jabse chala
Aankhon mein he kal ki chavvi
Jaane kya hogaa mein toh chalaa
Bekhabar

Chalta hoon mein raahon ko apna samajhke
Apni saari takleefein sapnaa samajhke
Mujhko parwah nahi kal ki aaj mein jeeta hu
Ek musafir hu apne safar mein hi jeeta hu

Ghar se hoon duur manjil he kabool
Meri takdeer he saathi jabse chalaa
Dil me mere umeedein liye
anjaani he raahein par me chalaa
Befikar

Jaana main eke ghar apna hota kahin bhi
Dhoondo toh har koi he apnaa ilahi
Sabse hasske baatein karna hi seekha he
Ik Musafir hun dost banana hi seekha he

Raastein me anjaane aate he mod
Bikhre nakshe umeedon ko dete he tod

Aise me bhii joh dhoonde apni who manjil
Chod takleefe paaye wohi apnaa sahil
Aisi manjil ko paana hi dil ne ab thana he
Ek musafir hu manjil ko paana hi seekha he
Ek musafir hu manjil ko paana hi seekha he
Ek musafir hu manjil ko paana hi seekha he



Credits
Writer(s): Mayur Raje
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link