Lost

Apni hi dhun mein
Ghummu firu goom main
Apni hi dhun mein
Ghummu firu goom main
Nazre hai aankh pe
Bana arjun main
Lafz ye saarthi
Gaane mere darpan hai
Apni hi dhun mein
Ghummu firu goom main
Apni hi dhun mein
Ghummu firu goom main
Nazre hai aankh pe
Bana arjun main
Lafz ye saarthi
Gaane mere darpan hai

Dukhi sannato mein, baitha inn raato mein
Dhundhu maine apne hi aap ko
Aankhein kharab kya chhaya hai dhuhhan
Ya lipta baitha hai hijab ko
Laakhon sawaal, kya kam hai jaawab
Ya padh rha zindagi ki kitaab ko
Khol lu khaata, ya mann se mita du
Main sabke karmo ke hisaab ko
Kya zinda hai tu, ya saanse bus leta
Bech daal andar insaan ko
Kya sach mein chahta, ya koi karwata
Hatta pooch apne naqaab ko
Hai ye asliyat, ya sapna koi chalta
Haan tum mujhe yahi jawaab do
Bade khud ke patan pe sab ye satan se
Khuda tum mujhe sambhaal lo
Paal lo mujhe main girta hu jaara
Ho jaise ye patjhad main firta awaara
Na raj mera shayad kismat ka maara
Par boli mehnat main kismat ko mar aaya
Khushi jo mili main sab mein tha baat aaya
Par na wapis dene aaya koi bakaaya
Ab thodi aas bachi hai khudse hi
Par yahi dar na ho jaaye mrityu iski bhi

Apni hi dhun mein
Ghummu firu goom main
Apni hi dhun mein
Ghummu firu goom main
Nazre hai aankh pe
Bana arjun main
Lafz ye saarthi
Gaane mere darpan hai
Apni hi dhun mein
Ghummu firu goom main
Apni hi dhun mein
Ghummu firu goom main
Nazre hai aankh pe
Bana arjun main
Lafz ye saarthi
Gaane mere darpan hai

Jaagu har din main ek nayi si soch se
Kar khaali dimaag jaise chal rhe ho roze
Kaale khyaal ye aa jaate laut ke
Badaal sawaan ke ye peecha na chhodte
Taalashu chhat main bhatka musafir
Naa karta vishwas ab ban gya kaafir
Dur chitnan mein wo kehte hai raahgir
Karke ye sab kya tu chahta hai aakhir
Sawaal sawaal ye rehte hai gher ke
Karu saamna par krdete dher ye
Hoti jo sena fir jal jaata shehar ye
Shati vicharo ki shiva ka kehar hai
Bair hai na jaane khud ka kyu khudse hi
Khair na chahta hu rehta hu besudh hi
Zehr ka ghamand ye badh jaata jyada
Haan dar lagta kahi main khodu na sudh budh hi
Andha mann mera fir dhundhe sahara
Raet hi raet hai garm angaara
Mushkil hai lagta ab apna guzaara
Par haarna khud se ab hai na gawaara
Talaash jeet ki ye jaari rahegi
Non stop ye paari rahegi
Chingari rahegi hai jab tak ye sansein
XR sangeet ki ye yaari rahegi

Apni hi dhun mein
Ghummu firu goom main
Apni hi dhun mein
Ghummu firu goom main
Nazre hai aankh pe
Bana arjun main
Lafz ye saarthi
Gaane mere darpan hai
Apni hi dhun mein
Ghummu firu goom main
Apni hi dhun mein
Ghummu firu goom main
Nazre hai aankh pe
Bana arjun main
Lafz ye saarthi
Gaane mere darpan hai



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link