Chai Ki Katori

Chai ki katoriyon me biscuit duboye the jo
Kaano me tumhare gaane woh gungunaye the jo
Bhulogi kya unko kabhi
Main toh nahi

Aadhi raat ko omelette banaye the jo
Balcony me baithke ghante bitaaye the jo
Lamhe kitne the haseen woh
Hai ke nahi

Na na na
Na na nana na
Na na naaa
La la lalaa

Early mornings tak humne gappe ladaye the jo
Online binge karke nachos khaaye the jo
Bhulogi kya unko kabhi
Main toh nahi

Doston se chupke chupke lamhe bitaaye the jo
Ek dusre ke liye gaane gaaye the jo
Lamhe kitne the haseen woh
Hai ke nahi

Na na na
Na na nana na
Na na naaa
La la lalaa

JD ke 60-60 ml chadhaye the jo
Joint ke dhuen se challe banaye the jo
Bhulogi kya unko kabhi
Main toh nahi

Marine drive ke sunsets me haath humne thaame the jo
Hauz khas fort me photos khichaaye the jo
Lamhe kitne the haseen woh
Hai ke nahi

Chote mote jhagdon me aansu bahaye the jo
Ulti seedhi harkatein karke hasaaye the jo
Bhulogi kya unko kabhi
Main toh nahi

Samundaron ke paaniyon me cheentein udaaye the jo
Ret ke gharon se apne sapne sajaaye the jo
Lamhe kitne the haseen woh
Hai ke nahi

Kitne khaas hai yeh pal
Inme jeene ka maza
Phir se dohraaye
Halki fulki Mastiyaan

Kitne khaas hai yeh pal
Inme jeene ka maza
Phir se dohraaye
Halki fulki Mastiyaan!



Credits
Writer(s): Tanay Mimani
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link