Commentary And Kaun Hai Jo Sapnon Mein Aaya

Us saal ki ek aur badi pur-asar direction thi us film mein
Jismein taqdeer ki ek bohot badi bhool ko sudharne ke liye
Ek hausla-mand hero ne aasmaan ko jhuka diya
Director ka naam tha Lekh Tandon

Kaun hai jo sapno mein aaya
Kaun ho jo dil mein samaya
Lo jhuk gaya aasma bhi
Ishq mera rang laaya

Kaun hai jo sapno mein aaya
Kaun ho jo dil mein samaya
Lo jhuk gaya aasma bhi
Ishq mera rang laaya

O, Priya
O, Priya

Zindagi ke har ek mod pe main
Geet gaata chala jaa rha hoon
Zindagi ke har ek mod pe main
Geet gaata chala jaa rha hoon

Bekhudi ka ye aalam na poocho
Manzilon se badha jaa rha hoon
Manzilon se badha jaa rha hoon

Kaun hai jo sapno mein aaya
Kaun ho jo dil mein samaya
Lo jhuk gaya aasma bhi
Ishq mera rang laaya

O, Priya
O, Priya

Jism ko maut aati hai lekin
Rooh ko maut aati nahi hai
Jism ko maut aati hai lekin
Rooh ko maut aati nahi hai

Ishq raushan hai, raushan rhega
Roshni iski jaati nahi hai
Roshni iski jaati nahi hai

Kaun hai jo sapno mein aaya
Kaun ho jo dil mein samaya
Lo jhuk gaya aasma bhi
Ishq mera rang laaya

O, Priya

Aur ab zara taiyaar rahiye
Hamari Geetmaala ki chaanv mein aane walaa hai (o, Priya)
1968 ka ek bohot he yaadgaar geet



Credits
Writer(s): Jaikshan Shankar, Jaipuri Hasrat
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link