Dil Lagaayein - Piano Mix
Dil lagayein ya na lagayein, sochna hai ye, sochna
Aazmayein ya baaz aayein, sochna hai ye, sochna
Dil-e-na-tawaan, ae chala kahaan?
Kisi raahguzar ka nahin nishaan
Dil chot hi na khaaye toh banti nahin kahani
Iss raah mein to dil tootne ki rasam hai puraani
Meherbaaniyaan hein yeh pyaar ki jo nadaaniyaan karaaye
Yeh woh aag hai na jalaaye to kahin chain bhi na aaye
Khel jaayein ya laut jaayein, sochna hai ye, sochna
Jhool jaayein ya bhool jaayein, sochna hai ye, sochna
Dil-e-na-tawaan, ae chala kahaan?
Kisi raahguzar ka nahin nishaan
Jaane kahaan le jaayegi, kaisi hai yeh khumari?
Jaane kahaan le jaayegi, kaisi hai yeh khumari?
Inkaar bhi kiye jaaye par duniya isi se haari
Woh jo ho gaye kisi par fida, woh na koi baat maanein
Yeh woh rog hai jo kare fanah, hain isi ki daastaanein
Na batayein ya na chupayein, sochna hai ye, sochna
Dil bachayein ya jaan de jaayein, sochna hai ye, sochna

Credits
Writer(s): Ali Aziz Sethi
Lyrics powered by www.musixmatch.com
Link
© 2024 All rights reserved. Rockol.com S.r.l. Website image policy
Rockol
- Rockol only uses images and photos made available for promotional purposes (“for press use”) by record companies, artist managements and p.r. agencies.
- Said images are used to exert a right to report and a finality of the criticism, in a degraded mode compliant to copyright laws, and exclusively inclosed in our own informative content.
- Only non-exclusive images addressed to newspaper use and, in general, copyright-free are accepted.
- Live photos are published when licensed by photographers whose copyright is quoted.
- Rockol is available to pay the right holder a fair fee should a published image’s author be unknown at the time of publishing.
Feedback
Please immediately report the presence of images possibly not compliant with the above cases so as to quickly verify an improper use: where confirmed, we would immediately proceed to their removal.