Tujh Ko Rona Nahi

Duniya walo ko hamara pranaam
Frontline walo ko hamara salaam
Sunne walo pe hum meherbaan
Sunkar roz phirse jagana armaan

Mahamari samasya, gavaya manvadhikar
Kaisi ghor tapasya, hamara haal hai dushvar
Giri arthvyavastha, kamana mushkil aur darkaar
Kitni khinn avastha, zamana ho gaya bigaar

Tujhko rona nahi hai
Tujhko rona nahi
Tujhko rona nahi hai
Tujhko rona nahi
Kitna bhi phaile bukhaar, behaal ho jaye sarkaar
Kitna bhi jhele sansaar, rakh yaad, tujhko rona nahi

15 Se 30 prathishat, kaam hai kam, yamraj, bas karo
Beshaq hi hakikat, maan ke chal, barbaad, 10 crore
Ausat 20 prathishat, dhan hai kam, hatash, vypaar ke log
Haan asli yeh keemat, kam se kam, 50, lakh crore

Bas ye toh hadd hai! layin' off no more
Haq hai toh chhad le! playin' god no more
Stud nai hai ghar reh! going out no more
Dar nai toh mar le! sowing doubt fo-sho
Gam nai hai fun hai, stayin' in at home
Pubs nai toh pub khel, slayin' kids at home
Jab tere ghar pe! feelin' like ya all alone
Aau tere cchat pe! sittin' inna chopper bro

Tere mere lene dene, nai zyada chele mere
Pehle maine diye the be, facts taaki leke dekhe
Pehle paise pheke jaise, Raja bane the ye baithe
Kehke lete tere se-ye kaam boht jaise taise
Phere dekhe maine tere kaamse, paise lene?
Kehke lete rehte teri shaanse, pehle pehle
Tere jaise behgaye the, Tode rishte bin ye kehke
Jhele kaise? sehle kaise? band hai kishte inke terepe

Hum bhi hai jante, vyaparari ke jo haal
Tum bhi nahi chahte, karmachari berozgaar
Aayi leher layi keher, doob mat, maan mat haar
Jo haar kar seekha jeetna, wo ghoshit hoshiyar

Mahamari samasya, gavaya manvadhikar
Kaisi ghor tapasya, hamara haal hai dushvar
Giri arthvyavastha, kamana mushkil aur darkaar
Kitni khinn avastha, zamana ho gaya bigaar (Phir bhi)

Tujhko rona nahi hai
Tujhko rona nahi
Tujhko rona nahi hai
Tujhko rona nahi
Kitna bhi phaile bukhaar, behaal ho jaye sarkaar
Kitna bhi jhele sansaar, rakh yaad, tujhko rona nahi

Khona nahi ab tu zameer ko, fakeer wo jo
Dil se nahi haara to raaja hai, kwaja hai
Malik wo sabka
Ye uski hi praja hai
Khila hai fool jo barso se boya tha
Manav humara bas aaj mai khoya tha
Roya tha upar wala iski dasha pe
Jungle jala ke jab chain se soya tha

Chu-na hai humne aaj, wo jo khudka hi ateet tha
Bana manushya ye pashu se, pashu ko khana fir bolo kya thik tha
Cheekhta hai dil lekin hota ab prateet sa
Thokar khakar hi shayad insaan ab hai seekhta

Kho diye praan, kho diya gyaan
Khud hi karmo se khodo na kabar ab
Khabar uthi hai, besabar juti hai awaam
Luti hain sarkaarein lo shapath ab
Sikhne ki baari hamari hai, bache jo zinda is jeevan mai dharti sudharenge
Firse sawarange iss prithvi ko, warna to karmo se apne sab arthi chadha denge

Suna hai maine ke insaano ka ek raaz hai
Hoti badi aapatti hai jab khota koi khaas hai
Hai thoda khara par ye kehne ka andaaz hai
Jo sikh liya isse kuch, to hume tumpe naaz hai

Mahamari samasya, gavaya manvadhikar
Kaisi ghor tapasya, hamara haal hai dushvar
Giri arthvyavastha, kamana mushkil aur darkaar
Kitni khinn avastha, zamana ho gaya bigaar (Phir bhi)

Tujhko rona nahi hai
Tujhko rona nahi
Tujhko rona nahi hai
Tujhko rona nahi
Kitna bhi phaile bukhaar, behaal ho jaye sarkaar
Kitna bhi jhele sansaar, rakh yaad, tujhko rona nahi

Hosla rakh khud pe, na khud ko tu kho jane de
Ye samay hai bura, bas aas hai zamane mai
Halat-e-zakhm pe marham hai ek khwaab ka
Ke aankh moond lu sard raat mai kal dhoop ke bahane se



Credits
Writer(s): Himanshu Doi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link