FIR SE

Fir se mujhe sata ja
O pagli wapas aaja
Aa Fir se mujhe sata ja
O pagli wapas aaja
Na bigad unga baal tere
Kyu ruthi hai mujhse aaja
Aa Fir se mujhe sata ja
O pagli wapas aaja

Kyu tum gye mujhe chod ke
Vade adhure tod ke
Ham pi rahe hai raat din
Teri yaadein gam ma ghol ke
Mujhe yaad hai teri harr subah
Tu thi nidarr thi khusnuma
Ab Sanson se hai Dushmani
Mera jeena hi mera gunah
Na maan lage mera zindagi ma
Tu dikhe bs har kisi ma
Jo khelti thi sang tere wo ankhe
Tar hai ab nami ma
Ab kya karu na fal mile to
Chenlunga agar rab mile to
Intezaar me baitha wahan pe
Tu gayi thi jis gali ko

Jo hasti thi tu baato se meri
Woh baate unsuni hogayi
O natkhat teri shararat bhi
Kissa Kahani Ho gayi
Aankhe miche kyu leti hai
Uth nautanki tu muskura ja
Aa Fir se mujhe sata ja
O pagli wapas aaja
Aa Fir se mujhe sata ja
O pagli wapas aaja

Ma tanha hu bechara
Teri ankho ka ma taara
Hua karta tha to chamkunga
Teri yadon ko ma rakhlunga
Banake meri takat meri
Himmat tu hi hogi
Chamkegi meri duniyaa
Usme qismat teri hogi
Jo ho chuka wo hona tha
Tu zinda mujhme rona kya
Karlu ma hasil har muqaam
To garv tujhko hoga na
Sab hoga mere pas bas
Kami teri khalegi
Rulaya maine tujhko
Mehnat dekh tu bhi hasegi

Fir se mujhe sata ja
O pagli wapas aaja



Credits
Writer(s): Vedansh Upadhyay, Abhishek Mishra
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link