Maal

Subah jab uth toh mene phele kaam roll kiya
Phukne ke baad mene gaana yeh record kiya
Pucha apne aap se kya mene kuch wrong kiya
Usne kaha mujhse zindagi ko tune khul ke jiya
Aankho ko na khol paau zayada mene phuk liya
Baand aankho se toh apne sapne ko recall kiya
Yaad aya mujhe mene kitno ko ignore kiya
Dekho ab unhone mujhko bhi toh na support diya
Dheere he sahi par ab baari meri aa rahi hai
Khusiyo mein mai dooba mujhe duniya ab hassa rahi hai
Hosh mein na ana kyuki duniya phir rula rahi hai
Ab toh mein kya karu mujhe aalas yeh sata rahi hai
Dekhne ke baad sab kuch jo na bol paa rahe hai
Dhekte hee dekhte sab jhuthe hote jaa rahe hai
Mujhe kya hai karna mein toh apne maje le raha hu
Chidhte jo hai mujhse unko sirdard mein bhi de raha hu

Dekh bhai mein toh apni zindagi jee raha
Kyuki mujhe kal ki fikar na ab satae
Dekh bhai mein toh apni zindagi jee raha
Kyuki mujhe kal ki fikar na ab satae

Dekh
Dekh
Dekh
Dekh
Dekh dekh dekh uske baad kuch tu bolna
Bolne se phele apne sabdo ko tu sochna
Bina soche sabdo ka ab bad jaata hai mol na
Kyuki unke mtlb se phir dil ko pauche thes haa
Maan maan maan meri baat ko tu maanle
Jinke sath tu ghume unke maa baap unko palte
Nashe karke bigde ab wo khud ko na pehchante
Tujhse wo sirf milte kyuki tere pass maal hai
Baat meethi karte jaise dil bhi utna saaf hai
Muh pe yeh na bole peeth piche karte baat hai
Bhaiya bhaiya bole inke mtlb ki jab baat aae
Mene bola mujhe girgit thode bhi na rass aae

Dekh bhai mein toh apni zindagi jee raha
Kyuki mujhe kal ki fikar na ab satae
Dekh bhai mein toh apni zindagi jee raha
Kyuki mujhe kal ki fikar na ab satae



Credits
Writer(s): Lalit Pandey
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link