Dard

Humdardi dardi ka antar
Hai gehra samundar
Samaaya mere andar hai
Khwaabon ka ek bavandar

Humdardi dardi ka antar
Hai gehra samundar
Samaaya mere andar hai
Khwaabon ka ek bavandar

Tere darpan k darshan ko
Tadpe hain dil k armaan
Dua ki hukumat chahoon jaise
Geeta, bible, quraan

Yeh jo dard hai mera
Aansuon se ghira
Junoon mere jeene ka
Hua marta hai phira

Yeh jo dard hai mera
Aansuon se ghira
Junoon mere jeene ka
Hua marta hai phira

Nafrat k dariye mein behkar
Jeena maine seekh liya
Inteqaal se faramosh ho
Ruswai ko jeet liya

Zindagi ki daud mein
Ik zinda laash hoon main
Dard ki lehron se ladti
Rooh bina jaan hoon main

Zindagi ki daud mein
Ik zinda laash hoon main
Dard ki lehron se ladti
Rooh bina jaan hoon main

Aaine mein jab dekhoon khudko
Nazar aaye nihatta hatyaara
Palak jhapakte hi dekhoon tujhko
Bechara haara main besahara

Tharr tharr hai kaanpati yeh vaani meri
Jalti hui aag si hai zindagaani meri

Tu hi hai chahat
Tu hi mohabbat
Bas tu hi haskar
Tere gum mujhe dede

Yeh jo dard hai mera
Aansuon se ghira
Junoon mere jeene ka
Hua marta hai phira

Yeh jo dard hai mera
Aansuon se ghira
Junoon mere jeene ka
Hua marta hai phira



Credits
Writer(s): Omkar Bhalerao
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link