Aao Chalen Karbobala

Karbobala karbobala sabke liye raahe baqa
Karbobala karbobala jiski zameen arshe oolaa

Allahummarzuqni shafaatal hussain yaumul wurood

Aao chalen karbobala
Dil se kahen karbobala

Parchame abbas liye dil me ajab pyas liye
Dard ka ahsaas liye pyason se ik aas liye
Qafile tayyar hai sab shah ke azadar hain sab
Azm me kohsar hain sab shab me bhi bedar hain sab
Zaayre karbobala sab aa gay dekho najaf
Aab yahan se jaaynge moti sabhi sooye sadaf

Matame sarwar ke liye dil me umange hain bahut
Taza tawanaiyyan hai aur tarange hain bahut
Neko ki aulad hai hum matami afrad hai hum
Saath me mazoor bhi hai ishq me faulad hai hum
Char su labbaik ya shabbir ka ik shor hai
Nojawano ki taraha budho me bhi zor hai

Haath dabata hai koi paaon dabata hai koi
Khana khilata hai koi pani pilata hai koi
Sochne lagta hai ye dil log farishte to nahi
Raaste me bicche huy jannati raste to nahi
Accha hai sab hajiyon se zaayre karbobala
Haj ke musafir ke liye hota hai aysa bhala

Sar pa agar dhup sahi dhup me saay bhi to hain
Kanto me khushbu ne bahut phool khilay bhi to hai
Hum pa hai dushman ki nazar saath hifazat bhi to hai
Rakkhe huy chashme karam sakine ghaibat bhi to hai
Shaah ka chehlum manane mahdiye aakhir bhi hain
Aankho se poshida magar dil pa wo zahir bhi hain

Dekho sabile hai saji raaste humwar hain sab
Haq ki dalile hai saji jannati aasar hain sab
Raah me langar bhi to hai shaah ke mehmaan hai hum
Noor ke manzar bhi to hain deed ka armaan hai hum
Hazrate abbas ke hifzo amaan me hai safar
Hum zameen pa chal rahe hain aasmaa me hai safar

Lakhon karodo hain wahan phir bhi zameen tang nahi
Mel mohabbat hai wahan aapsi kuch jang nahi
Dhasti nahi koi zameen shah ka aejaz hai ye
Haadsa kuch hoga nahi ghaib ki awaz hai ye
Aate hai mola ke zair mulko ke har shahr se
Ghusl karte paani peete hain sabhi ik nahar se

Badhte hain ik aik qadam mitti hai ik aik khata
Koi burai na likhe kahta hai katib se khuda
Chu nahi sakti hai unhe aag jahannam ki kabhi
Khuld ke haqdaar hain wo jitne bhi zair hain sabhi
Jitne bhi zair hain sabhi nasire allah hain
Saare nabi saare wali unke hi hamrah hai

Mauj ziarat ki ajab logo ke sailab me hai
Aik anokhi si khushi har dile betab me hai
Rozay abbas pa bhi jaaynge hum gham ke liye
Rozay shabbir pa bhi jaaynge matam ke liye
Arbaeene shah pa pahuncha jo hai fidvi raza
Kosaro jannat se pucho kya hai uska martaba



Credits
Writer(s): Fidvi Lucknowi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link